Aah huvey Kaaba-e-qurbaani
Aah huvey Kaaba-e-qurbaani-e-daavar hai Hussain
Fidyaa-e-ummath-e-marhoom-e-Payambar hai Hussain
Beykas-o-beywatan-o-beydil-o-beypar hai Hussain
Sabr-e-Ayyub ki shamsheer ka jauhar hai Hussain
Gohkay talwaar phiree halq pa sattarr baari
Shukr-e-baari kiya pyaasey ney magar har baari
Ittefaaq-e-Ulaama ismay hai aye ahley aza
Paanch shartain hai zabeeha kay liye peish-e-Khuda
Sharth-e-awwal hai kay haiwaan na ho bhooka pyaasa
Ehtiyaatan badam-e-zibha bhi doh aabo ghizaa
Sharth-e-saani hai kay ho jumah toh taakheer karo
Jumah ko waqth-e-namaaz isko na takbeer karo
Teesri sharth hai haiwaan na ho peish-e-haiwaan
Thaadam-e-zibha na hasrath sey ho baaham nigraan
Sharth-e-chahaarum hai kay jaldi na karo taa imkaan
Ho churee teiz magar haath ho narmi sey ravaan
Sharth-e-panjum hai churee bhi na dikhaao usko
Zibhaa sey pehlay qazaa sey na daraao usko
Zibhey haiwaan ki yeh sharthayn hain magar wawailaa
Ashraf-e-khalq jo tha sibte Nabi noor-e-Khuda
Aah huvey shair-e-Khuda fidyaa-e-Rabb-e-dohsaraa
Khaana kaisa kay na paani usay qaatil ney diyaa
Halq tarr karthay hain qassaab bhi qurbaani ka
Qathra ummath ney na Syed ko diya paani ka
Zibhey haiwaan ka nahin hukm hai haiwaan kay huzoor
Yaan na Shabbir thay kuch door na Zainab thi door
Aal-e-Ahmad dar-e-khaimey pa khadi thi majboor
Lout-thi thi kahin Kubra kahin Abid ranjoor
Shah unko woh suey Shaahey Umam dekhtay thay
Zibhaa hothay thay Husain Ahley harum dekhtay thay
Manaa dikhlaana churee ka hai paey qurbaani
Yaan tha chey laakh kay narghay main Ali ka jaani
Teigh-o-khanjar liye thay girdh-e-sitham kay baani
Aab-e-aahan kay siwaa tha na mayassar paani
Al-atash ki thi sadaa halq-e-Shahey Zeeshaan sey
Pyaas kay maarey zabaan chaabthay thay dandaan sey
Eid-e-zilhijja ko hai qurbaani-e-haiwaan illaah
Ho jo ek saal sey kam zibha nahin iska ravaa
Tumko Akbar ki jawaani ki qasam Ahle azaa
Qatl Asghar ko jo ummath ney kiya kya sin thaa
Shab-e-haftum sey qalaq doodh na peenay ka thaa
Teesra faaqa tha aur sin chey mahiney ka thaa
Na abhi kangee kay qaabil thay jhandolay woh baal
Aah qurbaani-e-Asghar huvi kis tarhaa halaal
Doodh ka hountoun pa aatha tha ishaara na sawaal
Juzz Khuda kuch bhi na pehchaantha tha banu ka laal
Maa ka dil iskay ishaarey ko samajh leytha tha
Doodh ki hothi thi khwaahish toh woh rotha tha
Ek bhi daanth na niklaa tha Ali Asghar ka
Ek baalish ka kurtha tha Ali Asghar ka
Chotaa qadh nanhaa sa jhoola tha Ali Asghar ka
Doodh peena bhi na choota tha Ali Asghar ka
Moonh sey maa baap ka bhi naam na ek baar liya
Bey zabaan bachchey ko bhi hurmulaa ney maar liya
Ek jaan laakh khareedaar ayaazan billah
Pyaasey par teeroun ki bochaar ayaazan billah
Na koyi yaar na ghamqaar ayaazan billah
Har taraf zaalimo khoonqaar ayaazan billah
Apney ruthbey ka kisi ka na shanaasa dekha
Dekha pyaasey ney jisey khoon ka pyaasa dekha
Teen baari huvey jab pyaas sey beyhoush Imam
Aakhir-ul-amr kiya pyaas mai rokar yeh kalaam
Aiyyohan-naas meray qatl pa baandho na husaam
Pyaas sey teen shab-o-roz ki hai kaam tamaam
Ab koyi pyaasoun main baaqi nahin mai tanha hoon
Chaaho paani doh mujhey chaaho na doh pyaasa hoon
Abhi yeh kehna chukaa tha pisar-e-Shaahey Najaf
Sau hazaar ahley jafaa toot paday teigh bakaf
Sab kamaan daaroun kay teer aur dil-e-Shabbir hadaf
Girdh jallaadh thay aur beech mai Zehra ka Khalaf
Hokay beyhoush girey jab Shahey deen ghoday sey
Saath hi koodh padaa shimr-e-layeen ghoday sey
Aayaa ghussey mai qareenshah kay woh badh akhtar
Teigh ek haath mai ek haath mai kheinchay khanjar
Bey adab ney joy eh chaahaa kay chadey seenay par
Shah chupkay sey yeh bolay kay teihar shimr teihar
Sunlay duniya mai meray baad tujhey rehna hai
Tujhsey kuch apne yateemon kay liye kehna hai
Keh toh doon aagay amal uspaa tu kar ya kay na kar
Shimr bolaa kay bhalaa khair kaho aye Sarwar
Kaha Sheh ney meri gardhan pa chalay jab khanjar
Qibla roo laash litaa deinaa uddhaakar chaadar
Aur ithna tu meri rooh pa ehsaan karna
Dekh saidaaniyoun kay sar ko na uryaan karna
Qatl waaris huvey ab unkay sathaaney sey kya
Jiska waali na ho us ghar kay jalaaney sey kya
Aap hi rothay hain bevoun kay rulaaney sey kya
Nangay sar pardha nasheenoun kay phiraaney sey kya
Ya tu rauze pa Nabi kay unhey pahooncha deinaa
Ya inhey waarisoun kay laashoun pa bitlaa deinaa
Beti ek teen baras ki hai Sakina meri aah
Dekh tu usko tamaachey na lagaana gumraah
Woh jo roye na ghurakna na darraana lillah
Mainey naazoun sey usay paala hai Khaaliq hai gawaah
Kal talak thi meray seenay ki woh sonay waali
Ab woh hai sahib-e-maatam meri ronay waali
Shimr bola kay Sakina ko bohoth chahathay ho
Sheh ney farmaaya kay haan sabmay hai pyaari mujhko
Sangh dil bola toh bas khair tum ab kuch na kaho
Main nahin suntha Sakina ki sifaarish na karo
Main tamaachey usay maaroonga ghurakh bhi doongaa
Jitni dijaayegi eezaa main useeko doongaa