Zainab pa huva khaatema har

Zainab pa huva khaatema har ranj-o-balaa ka

Maatam kiya pehlay toh Rasool-e-doh saraa ka

Phir gham huva darpeish Batool-e-Uzara ka

Dekha sar-e-aaloodh ba-khoon Sher-e-Khuda ka

Woh khasthaa jigar Shabbar-e-dilgeer ko royeen

Phir baad-e-Hasan Hazrath-e-Shabbir ko royeen

Tiflee hi sey Zainab pah museebath huvi kya kya

Naana kay liye royi kiya maatam-e-Zehra

Aur Mohsin-e-maasoom kay bhi laashey ko dekha

Yeh daagh na bhooli thi kay zakhmi huva baba

Tukkdeh jigar-e-Syed-e-masmoom ko dekha

Phir teigh kay neechey Shahey mazloom ko dekha

Alqissa kay Zainab ko sadaa bhaayi ki thi yaad

Tha dushman-e-Abid jo yazeed-e-sitam eejaad

Guzri yeh qabar usko kay kya bhaitta hai dilshaad

Ijmaah hai shiyoun ka payeh yaari-e-Sajjad

Waaris hai woh teigh-e-kamar shair-e-Khuda ka

A b tujh sey aiwaz leyga woh khoon-e-Shohada ka

Yeh sunkay diya hukm shaqi ney sar-e-darbaar

Abid ko giraftaar karein jaakay kuch aswaar

Zanjeer bhi aur tauq bhi bhaari saa ho taiyaar

Lo ab qisaas-e-Shohadaa ka hai talabgaar

Kis baat pah magroor woh ibne Shahey deen hai

Kya pehli aseeri ka mazaa yaad nahin hai

Baazu mein rasan baandhi thi aur paaoon mein zanjeer

Abid yehi kehthay thay kay kya hai meri taqseer

Woh kehthay thay yaan poocho na aye naaeb-e-Shabbir

Ab Shaam mein ho jaayegi jo honi hai taqdeer

A bid ney kaha khair chalo darr mujhey kya hai

M azloom ka farzand toh raazi ba riza hai

Abid ka sukhan koyi bhi khaatir mein na laaya

Naaqey pa usi shakl sey beykas ko bitthaaya

Aur rokay zann-o-mard ney ek shor machaaya

Naagah yeh ek shaqs ney Abid ko sunaaya

Kya baittey ho naaqey pa zaraa dekho udhar ko

H amsheer-e-Hussain aathi hai kholey huvey sar ko

Ya Rabb mujhey us shaher ko ab tu na dikhaana

Sar nangay phir us mulk mein mujhko na phiraana

Hai yaad mujhey Shaam ka woh ranj utthaana

Humraah sar-e-Sheh kay huva tha mera aana

A b peish-e-nazar bhaayi ki tasveer nahin hai

A ayi hoon main tanhaa sar-e-Shabbir nahin hai

Us raat ko Zainab rahi mashghool-e-munajaat

Naagah saher-e-kooch numayaan huvi haihaath

Sajjad ney Zainab sey yeh ro ro kay kahi baat

Lo bhaayi sey tum apney karo aaj mulaaqaath

Kis dard sey kal aap thee mashghool dua mein

M aqbool dua hogayi dargaah-e-Khuda mein