Hai qasd kuch fazael-e-Baquar
Hai qasd kuch fazael-e-Baquar raqam karoon
Tahreer mojizaatey Imam-e-Umam karoon
Likhney mein misley khaama-e-sar ajz kham karoon
Lauh-o-qalam ko geeratey lauh-o-qalam karoon
A nwaarey mojizaat sey raushan kitaab ho
Khaama shuaa ho toh waraqh aftaab ho
Ek din pidar ki goud mein tha woh falak muqaam
Ek shiya laya nazrey dirahem paey Imam
Sajjad kay huzoor woh dirham rakhey tamaam
Dirham sey khelney lagaa farzand-e-nekh naam
Kya aql di thi khaaliq-e-roz-e-hisaab ney
Dirham zameen pey phaink diya us janaab ney
Tab doud kar mohib ney dirham uttha liya
Aur us ko darmiyaan-e-dirham par milaa diya
Baquar ney chunkay phir wahi dirham judaa kiya
Tifli mein thi yeh aap pey taaeed-e-kibriya
L ikha hai teen baar yehi maajera huva
Us dum mohib ko Sheh kay tahyur bada huva
Abid sey ki yeh shia-e-Abid ney iltejaa
Irshaad aap kijiyeh yeh majera hai kya
Sheh ney kaha yeh aadat-e-tifli na jaantaa
Hoga Imam baad humarey yeh mehlaqaa
Dirham yeh ek gazbi-o-maal-e-haraam hai
Kyun kar issey qubool karey yeh Imam hai
Baquar pey woh nisaar huvaa paaoon choom choom
Tifli sey Sheh kay Ilm-e-Khuda daad ki thi dhoom
Baquar ki sharaa kartey hain yeh khaas aur amoom
Yaani hai woh Imam shagafandah-e-uloom
Tha koi raaz-e-ghaib na Shah sey chupaa hua
Uqdaa woh kaun tha jo na Hazrat sey waa hua
Likhta hoon ab Shahadat-e-Maula-e-khoosh nihaad
Tha bas kay zaid ibn-e-Hassan ko hasad ziyaad
Rakhta tha bughz aap sey woh baani-e-fasaad
Karta tha majlison mein hiqaarat sey Sheh ko yaad
Tha munhareef woh Baquar-e-aali muqaam sey
Karta tha adaa-e-Imamat Imam sey
Sougandh khaakay zaid ney is waqt yeh kahaa
Daawaa na ab karoonga Imamat ka mutleqaa
Phir suey mulk shaam woh maloon rawaan huvaa
Abdul malik sey jaakay kahaa sab yeh maajeraa
A akhir ko yeh kaha kay humaarey gumaan mein
Baquar sa ab nahin koyi saarey jahaan mein
Abdul malik ko bughz-o-khusumath huvi ziyaad
Kya kya na usney Shahey Umam sey kiye fisaad
Akhir Imam ko yeh likhaa az rahey anaad
Main bhejtaa hoon zaid ko aye Shahey khush nihaad
I bn-e-Hassan ko laayeq-e-takreem kijiyeh
Taadeeb kijiyeh usay taaleem kijiyeh
Aur ek zeen taabiye jis mein kiya tha sam
Hum raah zaid bheijaa baraaye Shahey umam
Aaya jo Zaid rubaru-e-Shaahey ba karam
Shah boley hai jo qasd tera jaantey hain hum
A ey ibne Amm yeh zulmo sitam tu ney kya kiya
I s zeen mein hai taabiye zehr-e-dagaa kiya
Is zeen par main hothaa hoon daanista ab sawaar
Bandey ko kya mashiyat-e-izd mein ekhtiyaar
Bandha woh zeen asp pey Allah rey inkesaar
Aur zaib-e-raahwaar huva Shaahey bawaqaar
M aut apni ki pasand raza-e-Ilaah mein
Us zaher ney nafooz kiya jism-e-Shah mein
Sheh ney muraaje-ath ki sawaari sey aah jab
Bas aashkaar hogaye aasaar-e-maut sab
Farmaaya teen roz kay hum mehmaan hain ab
Jaffar ko laao aur kafan bhi karo talab
Talib kafan kay badley hain is pairahan kay hum
Kabey ka tawaaf kartey thay jis ko pahen kay hum
Laaye woh jaama Hazrat-e-Sadiq bachashm-e-tarr
Hazrat ney pyaar karkay kahaa unko aye pisar
Jaata hoon main jahaan sey tu hothaa hai beypidar
Duniya sey aaj kartaa hoon uqbaa ka main safar
Pyarey pidar kay marney ka tum gham na khaaiyo
M azloomi-e-Hussain pey aansoo bahaaiyo