Ravaana nehr-e-labann ko
Ravaana nehr-e-labann ko jo sheer khwaar huva
Zabaan dikhaaney pa gardhan sey teer paar huva
Tadap kay haathoun pa Hazrath kay humkanaar huva
Khizaan huva jo woh gul toh galay ka haar huva
Idhar toh Shah ko yeh sadhmaa-e-jigar pahooncha
Udhar Madiney sey Soghra ka naamabarr pahooncha
Lahoo main garq khaday thay kamar jhukaaye huvey
Pisar ki nanhi si maiyath galay lagaaye huvey
Lahoo bhara huva daaman usay uddhaaye huvey
Kafan ki fikr main khaimey ko muh phiraaye huvey
Yeh haal dekh kay qaasid ki aass toot gayi
Huva yeh raasha kay fouran meihaar choot gayi
Utarr kay naaqey sey aadaab woh bajaa laaya
Magar Hussain thay beyhoush kuch na farmaaya
Woh nauha padtha huva aur muttasil aaya
Nigaahey yaas sey moonh dekh kar yeh chillaaya
Qaraar doh mujhey main beyqaraar hothaa hoon
Hussain jaan kay tumpar nisaar hothaa hoon
Kaho baqeeya-e-aulaad-e-Murtuza ho tum
Ameer-e-lashkar-e-Allah-o-Mustafa ho tum
Ghareeb-e-Kufa-o-mazloom-e-Karbala ho tum
Bathaao Qasim-e-naashaad kay chachaa ho tum
Jawaab doh pidar-e-namuraad-e-Akbar ho
Janab-e-Hazrath-e-Abbas kay baraadar ho
Bahen hai aapki Zainab Sakina dukhtar hai
Har aawal aapkay lashkar ka Hurr-e-Safdar hai
Watan main bhi koyi beti aleel-o-shashdar hai
Huzoor ka koyi nanhaa sa laal Asghar hai
Zohair aur Habeeb aapkay musaahib hain
Janab Aun-o-Mohammad kay maamu sahib hain
Hussain bharkay damay sard bolay aye ghamkhaar
Ameer kaun hai main toh hoon beykas-o-naachaar
Kahaan hain Akbar-o-Qasim kahaan Alambardaar
Khuda kay bandhey thay yeh sab huvey Khuda pa nisaar
Sipaahey zulm ney tanhaa samajh kay gheiraa hai
Hazaaroun teighein hain aur ek halq mera hai
Hataayi chehray sey Asghar kay khoon bhari chaadar
Paseena mauth ka maathay sey pounchaa sar tha sar
Pukaarey laashey ki aankhoun pa hountoun ko rakh kar
Likhi hai Fatema ney deedaa bosi-e-Asghar
Gawaah rahiyoh kay faaqay sey jhoomtha hai Hussain
Aur unkay Bhaayi ki ankhoun ko choomtha hai Hussain
Banaaloon nanhi si qabr inki aye khujistha siyar
Toh ley chaloon pisar-e-naujawaan kay laashey par
Toh padhiyo laasha-e-Akbar pa naama-e-khaahar
Yeh kehkay ghoday sey uthrey Imam jin-o-bashar
Zameen qabr ki khaatir pasandh karnay lagay
Mazaar khodh kay naalay balandh karnay lagay
Lahoo sey ghusl toh Asghar ko dey chuki thi qazaa
Malee basoorath-e-kaafoor shay ney khaak-e-shifa
Uthaara qabr main Asghar ka khoon bharaa laasha
Litaakay khaak pa Qibla ki samth moonh pheiraa
Phir apney chaand ko jab khaak mai chipaaney lagay
Toh ya Ali kaha aur haath thar tharaaney lagay
Yeh haal dekh kay qaasid ney ki madadgaari
Lahad main ungliyoun sey khaak daali ekbaari
Pukaari khaimey kay dar sey yeh Banu dukhiyaari
Yeh kiski qabr ki hothi hai run main taiyaari
Hussain bolay kay sadhmay naye guzarthay hain
Tumhaarey hansliyoun waaley ko dafn karthay hain
Balaaein door sey ley ley kay phir kiya yeh bayaan
Tumhaari nanhi lahad kay main waari Asghar jaan
Andheiraa ghar hai na ghabraaiyo yeh maa qurbaan
Akeilay sonay ki mushkil Khuda karey aasaan
Tumhaarey chaahaney waaley galay lagaaeingay
Mujhey yaqeen hai Janab-e-Ameer aayengay