Manqabat

ALI KE SAATH HAI ZEHRA KI SHAADI - MIR HASAN MIR


SABHI KHUSH HAIN

SABHI KHUSH HAIN KHUDAAYI BHI KHUDA BHI

ALI KE SAATH HAI ZEHRA KI SHAADI


LARKA HAI KHUDA KE GHAR KA LARKI HAI NABI KE GHAR KI

WO ARZ O SAMAAN KA MAALIK YE MALIKA BEHR O BAR KI

ZAMEEN RAKSA HAI RAKSA AASMAAN BHI


HAIDAR HAI KULLE IMAAN AUR KULLE ISMAT ZEHRA

US SAR PE WAFA KA SEHRA IS SAR PE HAYA KA SEHRA

WO SHEHZAADA HAI AUR YE SHAAHZAADI


DULHA KE ROOP ME PYAARE ALI IBNE TAALIB HAIN

THA BAAP BHI SAB SE GHAALIB YE BHI KULLE GHAALIB HAI

YE DAAMAADE NABI HAI AUR WO SAMBDHI


BAARAAT CHALI HAIDAR KI REHMAT KE SAAYE SAAYE

BAARAAT KE AAGE AAGE QUR'AAN QASIDE GAAYE

NABI SAARE CHALE BAN KAR BARAATI


TOHFE ME MILE MEHK AISE INHEIN JANNAT AUR KAWSAR KO

YE SAARA NAMAK AUR PAANI HAQ MEHR MILA ZEHRA KO

SALAAMI ME MILI MARZI KHUDA KI


QUDRAT KI TARAF SE INKO ABHI TOHFE AUR MILENGE

KAL INKE HASEEN AANGAN ME DO ASLI PHUL KHILENGE

HASEEN SHAJAREIN JINHEIN DENGE SALAAMI


AB CHAAHE KOYI BHARKE AB CHAAHE KOYI TARPE

AB MERI BHALAA SE CHAAHE MAR JAAYE KOYI JAL JAL KE

KHUSHI KI BAAT THI MAINE SUNAADI


KAISE HO BAYAAN WO MANZAR JAB KHATM HUWI SAB RASMEIN

KAUNEIN KI HAR SHEH GAUHAR KEHTI THI KHA KAR QASMEIN

MUBAARAK HAI MUBAARAK HAI YE SHAADI

MAULA KO PEHCHAAN

ALI HAI AWAL ALI HAI AAKHIR JAAN ARE NAADAAN


PAAKIZA WO LOG HAIN JO MAULA SE MOHABBAT KARTE HAIN

QAULE NABI HAI WO HAI NAJIS JO IN SE ADAAWAT RAKHTE HAIN

HUBBE ALI SE HO JAATI HAI NASLON KI PEHCHAAN


ISHQE ALI ME MANZIL MANZIL DAAR PE JAANA PARTA HAI

SAR KO KATAANA PARTA HAI GHAR BAAR LUTAANA PARTA HAI

DEKH KE MISAM KI HIMMAT KO DUNYA HAI HAIRAAN


EK ALI KE RUP HAIN KITNE KOYI KYA BATLAAEGA

JITNI SAMAJH HAI UTNE TARAANE SHAAN ME GAATA JAAEGA

KISI KA AAQA KISI KA MAULA KISI KA HAI BHAGWAAN


YAHAAN ALI HAI WAHAAN ALI HAI JAHAAN BHI DEKHO ALI ALI

SAB NE KAHAA KE MERE YAHAAN THE MERE YAHAAN THE ABHI ABHI

EK HI DIN ME ALI HUWE HAIN CHAALIS GHAR MEHMAAN


KHAATA HAI MAULA KA SADQA GAATA HAI GEIRON KE GUN

ALI HAI HAIN DONO JAGAT KE DAATA DUSHMANE MAULA SUN SUN SUN

DHARTI KE HAR KE HAR WAARE PAR HAI MAULA KA EHSAAN