Asghar salaami teer-e-sitam
Asghar salaami teer-e-sitam khaaye aathay hain
Gardhan pidar kay haathoun pa lattkaaye aathay hain
Teeroun ka mehh barastaa hai nanhi si laash par
Kaali ghataa ki tarha laaeen chaaye aathay hain
Paani diya na zaalimon ney pyaasey margaye
Gul ki tarhaa sey dhoop mein murjhaaye aathay hain
Baazu chidaa hai Shah ka bachcha hai khoon mein tar
Choti si laash chaathi sey liptaaye aathay hain
Hazrat ko hai yeh sounch kay Baanu kaheygi kya
Gardhan ko maarey sharm kay nyuddaye aathay hain
Boli Sakina jhaank kay deodi kay pardey sey
Qurbaan hogayi meray maa jaaye aathay hain
Kya zulm hai kay ek kay ser par nahin ridaa
Chehroun pa apney baaloun ko bikhraaye aathay hain