Run se jab khake sinaa Akbare
Run se jab khake sinaa Akbare zeeshaan aaye
Maa ki qidmath mein koi aan ke mehmaan aaye
Ghar mein laashe ko liye Shah-e-shaheedaan aaye
Nauhagar qaak basad chaak garebaan aaye
Di sada qatl huve Yousufe saani Bano
Mil gayi qaak mein Akbar ki jawaani Bano
Dekh ley aaqri deedar pisar marta hai
Saamne ankhon ke yeh noore nazar marta hai
Ab koi dum mein mera rashke qamar marta hai
Moonh se bahar hai zubaan tashna jigar marta hai
Dum hae seene mein ruka zaqmon se qoon jaari hae
Shehar Bano tera ghar lutne ki tayyari hae
Pahunchi qaime mein joh hazrat ki pur dard sada
Muztarib hogaye naamoose rasoole doh sara
Kaha chilla ke Sakina ne ke hai hai bhaiyya
Fizza daudi su-e dar phenk kar sar par se rida
Peet thi Zainabe baypar nikal aayi bahar
Bano ghabrake khule sar nikal aayi bahar
Sheh ke kaandhe pah joh dekha Ali Akbar ko nidhaal
Haath phaila ke yeh chillai ke hai hai mere laal
Kya ghazab hogaya aye baadshahe nekh qisaal
Raas aaya na mere bachhe ko atharwaan saal
Tukdey teghon se badan hogaya saara hai hai
Kaun tha jisne mere sher ko mara hai hai
Rokey Bano se yeh farmaane lage Sarware deen
Sar na peetho abhi zinda hai mera maahejabeen
Saans aathi hae pah har dum hae dum-e-baaz paseen
Kooch inka bhi hai aur hum bhi hain marne ke qareen
Sub chutey ab na raha koi hamara Bano
Is jawan bete ke gham ne hamein maara Bano
Sunke maadar ki sada kholdiye deedaye num
Haath utha kar kaha ro-o na mere sar ki qasam
Paas aakar hamein chaati se lagalo is dum
Run se aaye hain tumhari hi mulaqaat ko hum
Phir yeh ghar Shah ke iqbaal se dekha hum ne
Par tumhein aake ajab haal se dekha hum ne
Baal kyon bikhre hain kyon phenkdi sar par se rida
Neel kyon seene pah hai kyon hai garebaan phata
Qaak kyon moonh pah mali ho yeh pisar tum pah fida
Shah duniya mein salaamat rahe yeh kya yeh kya
Lut gayi yeh na suqan moonh se nikalo amma
Main toh jeeta hoon kaleje ko sambhalo amma
Zaqmi honay ki mere kisne qabar pahunchayi
Jhooth hai maine toh hargiz nahin barchi khaayi
Aap tak bete ko taqdeer salaamat laayi
Dekhey hazrat ke qadam tanh mein meri jaan aayi
Margh se pehley ho maatam yeh zaboon hai amma
Mere kapdoun pah toh Abbas ka khoon hai amma
Boli Bano ke joh kehtey ho khuda yoonhi karey
Ae mere laal yeh ma teri bala lekey marey
Lao dho daaloon mein joh qoon mein kapdey hain bharey
Chaand se haath hain phir kisliye chaati pah dharey
Mujh ko maloom huva qalq se jaatey ho tum
Mere roney ke liye zaqm chupatey ho tum
Bano sadme se na marjaye yeh darr hae beta
Sab tere dil ki mere dil ko qabar hai beta
Haye seena yeh tera khoon mein tar hai beta
Phir yeh kya hai joh nahin zaqme jigar hai beta
Sansanatah hai jigar jaan chali jaati hai
Is lahu se toh mere doodh ki booh aati hai
Aarzu hai ke phale phoole mera naqle muraad
Tum dulhan byaah ke laao mera ghar ho aabaad
Dekh loon ankhon se apni main tumhari aulaad
Phir main duniya se joh guzroon toh rahe rooh bhi shaad
Daadi kehlaoongi rutbaah mera bartar hoga
Tera farzand bhi humshakle payambar hoga
Aah ki sunke yeh Akbar ne basad ranjo malaal
Dard chaati mein utha ghair huva aur bhi haal
Dil mein yeh sonch ke roney laga woh nekh qisaal
Hum safar kartey hain amma ko hai shaadi ka qayaal
Barr mein hovega kafan qaak pah chehra hoga
Na dulhan hogi na aulad na sehra hoga