Bulaakar sab ko Hazrath ney kahaa

Bulaakar sab ko Hazrath ney kahaa aye Karbala waalo

Hamein darkaar hai thodi si jaa aye Karbala waalo

Iraada hai isi jungle main apna ghar basaaengay

Na ho taa hashr ab tumsey judaa aye Karbala waalo

Khudaara marney waaloun ki na roko raaha rehnay doh

Mujhey laayi hai yahaan meri qazaa aye Karbala waalo

Raheygi taaba chehlum laash bey ghusl-o-kafan sabki

Meray naamoos hongay bey ridaa aye Karbala waalo

Main chupp jaaoonga gar ek ek mutthi khaak daalogay

Yoonhi banjaayega marqadh mera aye Karbala waalo

Muhibb aayein jo baad-e-margg beykas ki ziyarath ko

Bathaa deina unhein mera pathaa aye Karbala waalo

Hamaari qabr par aana toh doh aansoo bahaa jaana

Miley fursath toh padhna faateha aye Karbala waalo

Mileiga chaen baad-e-margg bhi mujhko na turbath main

Milega hashr takh madhfan mera aye Karbala waalo