Main sonchta hoon kay Abid
Main sonchta hoon kay Abid ka haal kya hogaa
Aseer ho kay woh jab Shaam mein gayaa hogaa
Sunaa hai Shaam mein jaatey hi khoon ronay lagaa
Na jaaney shimr ney us waqt kya kahaa hogaa
Mujhey yaqeen nahin aathaa yaqeen kaisey karoon
Ali ki Laadli Beti ka sar khulaa hogaa
Woh yaad karta toh hogaa Pidar ki shaahi ko
Bahan ko dafn jo kurtay hi mein kiya hogaa
Galay kay touq ney Abid ko kya jhukaana thaa
Woh apney khoye huvey Laal dhoondtha hogaa
Woh yaad karta toh hogaa Pidar ki ghurbath ko
Watan mein jab usay ghusl-o-kafan milaa hogaa
Rasool Zaadiyaan bey maqnaa aur woh khaamoush
Meray Imam ka kis darjaa hauslaa hogaa
Woh zulm deikhay hain Sajjad ney Hussain kay baad
Mujhey yaqeen hai ab takh bhi ro rahaa hogaa