Kisi ka khaana-e-ummid bey
Kisi ka khaana-e-ummid bey charaag na ho
Jawaan betay ka dilko pidar kay daag na ho
Hazaar baagh lutain par khizaan yeh baagh na ho
Pisar kay gham sey pareshaan dil-o-dimaagh na ho
Falak balaa ka Shahey Karbala pa toota hai
Musaaferi main baraabar ka laal choota hai
Woh laal jisko na pahoonchey koyi durr-e-shehvaar
Waheed-e-asr shabaahath main Ahmad-e-Mukhtaar
Hameisha misl-e-Ali rozadaar shab beydaar
Shujaa-o-muttaqi-o-khush mizaaj gheerathdaar
Yeh sab kamaal miley zeir-e-khaak ek din main
Tamaam hogaye attaara saal kay sin main
Batool kehthi thi faryaad ya Ali faryaad
Meri bahoo huvi barbaad ya Ali faryaad
Bajaaye rahem hai beydaad ya Ali faryaad
Khuda kay waasthay doh daad ya Ali faryaad
Duhaayi Yousuf-e-aal-e-abaa ko maara hai
Jawaan ko maara hai naakith Khuda ko maara hai
Likhaa hai waa abathaa ki joonhi sadaa aayi
Hussain Imam kay chehrey pay murdhani chaayi
Woh aah ki kay Zari-e-Rasool tharraayi
Ravaana hogayi ashkoun kay saath beenaayi
Sawaar-e-doush-e-Payambar ki aas toot gayi
Inaan-e-sabr toh thaami lagaam choot gayi
Pukaarthay hain pisar ko pisar nahin aatha
Jigar main dard hai Laqthay jigar nahin aatha
Koyi rafeeq-e-Shahey behrobarr nahin aatha
Tumhaarey bhaayi ko rasthaa nazar nahin aatha
Pisar kay gham main khoozaada mera halaak huva
Basaa basaaya ghar unsatt baras ka khaak huvaa
Yahaan toh Fizza yeh karthi thi dard ki taqreer
Asaa-e-aah utthaa kar udhar chaley Shabbir
Andheira saamney aankhoun kay aur dil tagheer
Har ek baar yeh naara kay ya janab-e-Ameer
Kabhi utthey kabhi Sultaan-e-Mashraqain girey
Likhaa hai yeh kay bahaathar jagaah Hussain girey
Qadam qadam pa ttaheirthay thay Shaahey tashnaa guloo
Hawaa main soongthay thay apney laal ki khushboo
Zameen pa bait kay gaahey bahaathay thay aansoo
Talaash karthay thay haathoun sey laash ko harsoo
Jo koyi poochtha tha kya Huzoor dhoondthay hain
Toh rokay kehtay thay ankhoun ka noor dhoondtey hain
Qareeb-e-fouj jo Sultaan-e-behrobarr aaye
Pukaarey hanskay adoo khair hai kidhar aaye
Yeh koun margayaa jo aap nangay sar aaye
Piyaadah dhoop main thaamey huvey jigar aaye
Yeh koun chaand huvaa aaj door aankhoun sey
Kay chaen dil sey gaya aur noor aankhoun sey
Kaha Hussain ney rokar tumhey nahin maaloom
Hamaarey ghar main hai mehshar tumhey nahin maaloom
Mitee Shabihey Payambar tumhey nahin maaloom
Chutaa Hussain sey Akbar tumhey nahin maaloom
Rulaaney ko yeh Imam-e-Umam sey poochtay ho
Churee phiraakay kaleijay pa humsey poochtay ho
Aye aankhein waalo mera noor-e-ain kisjaa hai
Jawaano bolo meray dil ka chaen kisjaa hai
Jawaan-e-faatahey badr-o-hunain kisjaa hai
Zaeefo ainak-e-chashm-e-Hussain kisjaa hai
Kaho Rasool ki tasveer ko kahaan khoyaa
Asaa-e-peeri-e-Shabbir ko kahaan khoyaa
Pukaara shimr kay koyi nahin bathaaney ka
Badaa sawaab hai saadaath kay rulaaney ka
Na zinda chodeingay bachcha bhi is gharaaney ka
Iraadaa hai Ali Asghar kay khoon bahaaney ka
Jo teer paar ho nanhey galay sey eid karein
Tumhaari godh mai shashmaahey ko shaheed karein