Ghurbat mein kis ne ki hae rifaqat
Ghurbat mein kis ne ki hae rifaqat Hussain ki
Sab se siva hae kisko mohabbat Hussain ki
Kiski nazar mein farz hae ta-at Hussain ki
Takmeel kis se paayi hae shahadath Hussain ki
H ae kaun yaadgaar Ali-o-Butool ki
Woh kaun zee sharaf hae nawasi rasool ki
Zehra ke baad kaun hae maqdoomae jahaan
Baba hae kiska shere Khuda faqre murselaan
Duniya mein kiske sabr ke qaael hain insojaan
Madar hae kiski kashtiye ummat ki baad baan
M aryam se kiska martabah aala hae qalq mein
M ashoor kaun saaniye Zehra hae qalq mein
Taazeem kiski karte thay sultane Karbala
Kiske sabab se ummate aasi huve reha
Ghar bhar ki sougwari ka hissa kise mila
Hae koun dil se aashiqe shahinshahe huda
Di jis ne jaan ulfate shahe anaam mein
H ae sab se door kiski lehad mulke Shaam mein
Ausaaf kis mein hae shah-e-mardaan ke hu bahu
Hae aur kaun Jaffare Tayyar ki bahu
Rag rag mein kiske Fatema Zehra ka hae lahu
Sadqe mein kiske rah gayi ummat ki aabru
Jiski wafa-o sabr ka qaael Hussain hae
Zainab woh duqtare shahe badro hunain
Bhai imam baap imam aur muqteda
Maadar mili woh jiska laqab Ashrafunnisa
Nana rasool hae do sara qatme ambiya
Farzand paaye aise jo hain fidya-e-Khuda
Waqif jahan hae Fatema ki noore ain se
Zainab ka martabah koi pooche Hussain se
Nana ko royi baap ko royi woh zee viqar
Matam kiya Batool ka bachashme ashkbaar
Mohsin ki laash dekhke dil hogaya figaar
Barson rahi museebate Shabbar mein soagwaar
Bachpan se shughl usko raha shoro shain ka
A qir ko dekha Zaib-e-sinaan sar Hussain ka
Pursa ajeeb Zainabe nashaad ko mila
Shabbir qatl hotay hi qaima jala diya
Sar se uthari shumr ne masooma ki rida
Baazu har ek bibi ka rassi mein bandh gaya
Balwe mein laaye binte shahe mashraqain ko
Jee bharke ronay paayi na Zainab Hussain ko
Baba ko roye bachhe toh Zainab unhein manaye
Samjha ke apni goadh mein shab ko unhe sulaaye
Saeli kisi yateem ko aakar koi lagaye
Yeh dekhkar qaamosh ho shikwa na lab par laaye
Bhai ke sar ke saath rahi ijdeham mein
S ar nangay jaaye koocha-o baazare Shaam mein
Kuch din rahi watan mein woh Zehra ki yaadgaar
Par thi bahut Hussain se milne ko beqaraar
Tha dushmane imam yazeede sitam shuaar
Abed huve joh qaid dobara bahaale zaar
M umkin na tha ke moonh rahe ulfat mein modhke
Zainab rahe watan mein bhatije ko chod ke
Zindaan se chutke aayi joh Zainab su-e watan
Rotih thi jaake nana ke rowze pah qasta tanh
Gah Fatema ki qabr pah karti thi yeh sukhan
Barbaad Karbala mei huva aapka chaman
S hikwa na qaid ka tha na baazare Shaam ka
Tha zikr bus Hussain alaihis salaam ka
Pahunchi qareebe Shaam ko jis dum woh khush nihaad
Aane lagi ziyaada shahe bekafan ki yaad
Ek raat aayi jis mein ke dil ki mili muraad
Mujhda ajal ka qaab mein sunkar thi shaad shaad
Thi gar che iske dil ko qushi inteqaal ki
Par fikr thi toh Abede bar gashta haal ki
Guzri woh raat subha shahadat huvi ayaan
Jis baagh mein huva tha farokash woh kaarvaan
Dushman nabi ki aal ka tha uska baghbaan
Zere shajar joh rotih thi Sheh ko woh neem jaan
A isa sitam kiya ke na phir sheh ko ro saki
Yoon belchey se maara ke jaanbar na ho saki