Ae mominon Hussain pah shiddat ki
Ae mominon Hussain pah shiddat ki pyaas hae
Jungle mein Fatema ka pisar behawaas hae
Yavar na koi hae na koi bhai paas hae
Laashe utha ke laane se moula udaas hae
Loo chal rahi thi pyaas thi waqte zawaal tha
Bay chaen run mein dhoop se Zehra ka laal tha
Ae mominon qayal karo dil mein tum zara
Woh pyaas aur woh zaqm woh sehra-e Karbala
Woh saamne ki dhoop woh zakhmoun ka moonh khula
Woh loo se phatna zaqmon ka woh dard woh jafa
Kya dukh uthaae Fatema ke noore ain ne
Aafat sahi tumhare liye yeh Hussain ne
Aada se keh rahe thay yeh moula ghareeb hoon
Allah ke habeeb ka yaaro habeeb hoon
Ek dum mein dum nikalta hae ab anqareeb hoon
Zaqmi hoon begunaah hoon aafat naseeb hoon
Tum jiske kalma goh ho main uska nawaasa hoon
Paani pilake zibha karo yaro pyaasa hoon
Kehte thay yeh Hussain ke ek zalzala hua
Saaton tabaq zameen ke hile aasman hila
Naagah aayi Fatema Zehra ki yeh sada
Waqte namaaze Asr bhi nazdeek aagaya
Tifli mein jo kiya tha woh vaada wafa karo
Jhuk kar Hussain shukr ka sajda ada karo
Jis dum suni Hussain ne Zehra ki yeh sada
Qowfe Khuda se kaamp gaye sar se taaba pa
Ghash khake farshe zeen se gire wa museebatah
Har zaqm se nikalne lagi shukr ki sada
Sajde mein sar tha dhyan tha us kaar saaz par
Rothay thay shah sar dhare qaake niyaaz par
Us dum layeen ne door se dekha yeh maajera
Shumre laeen ko paas bulakar yeh tab kaha
Sibte rasool qaak pah behosh hae pada
Kya dekhta hae waqt phir aisa na aayega
Zaqmoun se choor hae taneh athar Hussain ka
Haan jald jake kaat le ab sar Hussain ka
Yeh misdah sunke aagaya laaluch mein woh la-een
Qanjar pakad ke aaya qareebe imame deen
Chaati pah zaanu rakh ke chadaai jo aasteen
Tab noore chashme Fatema ne ankhen khol deen
Dekha toh koi dost hae na ghamgusaar hae
Qanjar gale peh seene pah qatil sawaar hae
Farmaya sheh ne kaun hae to ae sitam shiaar
Kyon mere zaqmi seene pah aakar hua sawaar
Qanjar mere gale pah joh rakhta hae baar baar
Samjha hae kis qata pah mujhe tu gunahgaar
Deta hae ranj roohe risalat panah ko
Kyon zibha karne aaya hae mujh be gunah ko
Is par bhi kuch na dil mein laeen ke asar hua
Qanjar se kaatne laga mazloom ka gala
Is waqt aai Fatema Zehra ki yeh sada
Ae shumr mera laal hae bejurmo beqata
Yeh zulm Mustafa ke nawase ke halq par
Qanjar na pher bhooke ke pyaase ke halq par
Maine badey dukhon se hae paala Hussain ko
Nahaq tu zibha karta hae pyaasa Hussain ko
Lillah na zere tegh tu tadpa Hussain ko
Phat teh hain zaqm hoti hae eeza Hussain ko
Zalim kaleja phat ta hae mujh dil malool ka
Bachhe ko mere chod de sadqa rasool ka