Farzandoun ko phir Fatema
Farzandoun ko phir Fatema Zehra ney bulaaya
Chaathi sey lagaaya kabhi seenay sey lagaaya
Baalaa-e-jabeen bosay liye aur yeh sunaaya
Lo pyaaro kay hungaam judaayi ka ab aaya
A b tum sey judaa hothi Batool-e-Uzra hai
Yeh aakhri Zehra ney tumhey pyaar kiya hai
Hyder sey kahaa inko na pahoonchey koyi eezza
Yeh hain meray pyaarey kabhi inko na ghuraknaa
Aur aap sey ek arz yeh ab karthi hai Zehra
Paddhiyo meray laashey pa namaaz aye meray Maula
Furqath mein na in dono ko taddpaaio saahib
Bachchoun ko meri qabr pa tum laayio saahib
Naazuk hai mizaaj inka yeh maaloom hai maula
Har baat mein bey saaqtha ro deytha hai chotaa
Hai khauff ulatt jaaye na seenay mein kaleijaa
Tum isko meray laashey pa bhi ronay na deyna
S ab kudh mein leyn martabaa quraan ka samajh kar
Ghurrkay na koyi ab isey bin maa ka samajh kar
Yeh kehkay kiya bandh dar-e-hujraa-e-athar
Sab khurd-o-kalaan aankay ronay lagay baahar
Awaaz suni kalma-e-taiyab ki baraabar
Phir kuch na sadaa aayi kaha sab ney yeh rokar
R ehlath huvi bas aaj Rasool-e-Arabi ki
L o utt gayi duniya sey nishaani bhi Nabi ki
Alqissa woh din maatam-e-Zehra mein jo guzzra
Shab aayi khulay gaisuoun sey deyna ko pursaa
Hyder ney kiya ghusl ka saamaan mohiyaa
Maasooma kay ek haath mein jo zakhm lagaa tha
Woh dast-e-Batool aah khameeda nazar aaya
Yeh dekhtay hi mooh ko Ali kay jigar aaya
Nehlaa kay jo kafnaaney lagay maiyath-e-Zehra
Zainab ney kaha haathoun sey sar peet kay apna
Amma ka meray haath toh seedaa karo baba
Woh rokay pukaarey yeh khameeda hi raheiga
Tabooth mein phir maiyath-e-Zehra ko litaakar
S ab sey kaha lo bibiyo rukhsath karo aakar
Kehtey thay Ali Fatema kay laashey sey yeh baat
Bas Fatema bas ho chukee beitoun sey mulaqaat
Farzandoun ki gardhan sey judaa kijiyeh ab haath
Rukhsath bhi ho ab zindoun ka aur laashey ka kya saath
Chalnay mein musaafir kay yeh deyree nahin hothi
M aiyath sey sadaa aayi kay seyri nahin hothi
Saaheb meray bachchoun ko chuddaao na Khudaara
Khaatir sey meri deyr karo aur gawaara
Hoyegaa meri rooh pa ehsaan tumhaara
Bachchoun sey ziyaada mujhey koyi nahin pyaara
M asoomoun sey dum bhar mein bichadd jaayegi Zehra
Phir kaaheyko yoon seenay liptaayegi Zehra