Umme Laila sambhaal Zainab ko

Umme Laila sambhaal Zainab ko


Ghareeb Zehra par kya waqt hai ghareebi ka

Gareibaan chaak hai baalon mein khaakey Karbobala

Talaash kartey hain rasta nazar nahin aata

Yeh haal dekh kay hastey hai Sheh par Ahley Jafaa

Bahen kay kaandhon par kul kainaat laatey hain

Qadam Qadam par yeh aawaaz deitay jaatey hain


Umme Laila sambhaal Zainab ko (x2)

Laa raha hoon main laasha-e-Akbar

Umme Laila sambhaal Zainab ko (x2)

Bolay hongay Hussain yeh ro kar

Umme Laila sambhaal Zainab ko

Laa raha hoon main laasha-e-Akbar

Umme Laila sambhaal Zainab ko (x2)

Naujawaan laash hai zaeefi hai

Meri nazron sey dekh manzar ko

Kaise Humsheer ko sambhaloonga

Main sambhaaley huvey hoon Akbar ko

Tera ehsaan hoga yeh mujh par

Umme Laila sambhaal Zainab ko

Laa raha hoon main laasha-e-Akbar

Umme Laila sambhaal Zainab ko

Iskay seeney sey leykay naam-e-Ali

Mainey barchi abhi nikaali hai

Imtehaan dey chukee meri ghurbath

Ab teri beykasi ki baari hai

Tu bhi is waqt Ya Ali kehkar

Umme Laila sambhaal Zainab ko

Laa raha hoon main laasha-e-Akbar

Umme Laila sambhaal Zainab ko

Doh nageeney thay iski godi mein

Dono Akbar pey kar diye sadqaa

Sabr aisa kay apney beton par

Mainey rotaa isey nahin dekha

Hai magar ab yeh laasha-e-Akbar

Umme Laila sambhaal Zainab ko

Laa raha hoon main laasha-e-Akbar

Umme Laila sambhaal Zainab ko

Rok rakkha hai apney ashkon ko

Sabsey chhup chhup kay aahein bharti hai

Main samajtaa hoon maadar-e-Akbar

Teri mamtaa pey jo guzarti hai

Rakh kay apney kaleijey par patthar

Umme Laila sambhaal Zainab ko

Laa raha hoon main laasha-e-Akbar

Umme Laila sambhaal Zainab ko

Aisey laashey jawaan uthaaye hoon

Aidiyaan khath banaati aati hai

Inn nishaano ko peechey-peechey mere

Amma Zahra mitaati aati hai

Uski nazrein na dekhey yeh manzar

Umme Laila sambhaal Zainab ko

Laa raha hoon main laasha-e-Akbar

Umme Laila sambhaal Zainab ko

Aye Takallum woh Shaam-o-Kufa ka

Taye hua hogaa is tarhaa sey safar

Amma Zainab sambhaalna maa ko

Kehte hongay sinaa sey yeh Akbar

Aur hoga Hussain kay lab par

Umme Laila sambhaal Zainab ko

Laa raha hoon main laasha-e-Akbar

Umme Laila sambhaal Zainab ko