Pidar ki maut hai marnaa jawaan

Pidar ki maut hai marnaa jawaan betay ka

Safar jahaan sey karnaa jawaan betay ka

Ghazab hai khoon may bharnaa jawaan betay ka

Sitham hai jee sey guzarnaa jawaan betay ka

Shabaab tha ke shahey mashraqain sey chutey

Mohibbo peeto ke Akbar Hussain sey chutey

Khuda pidar ko na dikhlaaye marg-e-rahaat-e-jaan

Kaleja zakhmi ho.jab dil ko phir kharaar kahaan

Idhar to seena-e-Akbar se guzri nok-e- sinaa

Lahoo udhar huva chashmey Imaam e-deen sey ravaan

Tadap ke jaanib-e- gardhoo nigah ki sheh ney

Zameen hilgayee ek aisi aah ki sheh ney

Pukaartey huve daudey meray shaheed pisar

Meray jawaan meray mehroo meray sayeed pisar

Meray Haseen meray Yousuf meray Rasheed pisar

Qareeb ho kahin maidaan se ya bayeed pisar

Pidar pey aaj nayee waaredaath hai beta

Khabar nahin mujhe din hai ke raat hai beta

Kidhar gaye meray gul pairahan Ali Akbar

Meray khaleeq meray kam sokhan Ali Akbar

Jawaana rnarg-e-ghareebul watan Ali Akbar

Ujaad kar gaye mera chaman Ali Akbar

Bulaakey ghar se yahaan ashqiyaa ney loot liya

Duhaayi hai ke mujhey karbala ney loot liya

Pukaartey thay ke aye sheir phir pukaar mujhey

Nahin bathaney ke laasha yeh nabakaar mujhey

Teray firaaq mai hai zeesth naagawaar mujhey

Sada sunadey mai sadqey phir ek baar mujhey

Galey lagaalo ke seenaa hamaara jalta hai

Kaleja muh sey koyi dum mai ab nikaltha hai

Pukaari devdi sey bano pisar mila ke nahin

Bataao marham-e-zakhm-e-jigar mila ke nahin

Sitham ke abr may mera qamar mila ke nahin

Ali ke laal woh aali gohar mila ke nahin

Shitaab laao meray mannatoun ke paaley ko

Tumhee sey loongi main apney muraadoun waaley ko

Yeh zikr tha ke sadaa aayi door sey naagah

Janab-e-qibla-o-kaaba ab aayieh lillah

Huzoor haal sey betay ke kya naheen aagah

Zabaan aeint gayi hai ghulam ki yaa shah

Ukhad raha hai dum ab maut jaan lethi hai

Pukarney ki bhi taaqath jawaab dethi hai

Sadaa yeh sunthey hi sultan-e-behrouber daudey

Ye dard-e-dil tha ke thaamey huve jigar daudey

Kabhi toh fouj pa manindey shair-e-nar daudey

Kabhi idhar gaye rothay kabhi udhar daudey

Lutee huvi woh kamaayi basad talaash mili

Zameen pey khoon may ghaltaan pisar ki laash mili