Kiski zabaan sey pyaas ney paayi
Kiski zabaan sey pyaas ney paayi hai aabroo
Kis tashnaa labb kay hissey mein aayi hai aabroo
Imaan kiski khaak pah laayi hai aabroo
Aansoo ki kiskay gham ney baddhaayi hai aabroo
Kis pyaasey kay qalaq mein hamein shor-o-shayn hai
Poochaa jo naam pyaas pukaari Hussain hai
Narghaa huva Hussain pah jo fouj-e-Shaam ka
Teeroun sey jism chhan gayaa Shaahey anaam ka
Chillaaya naam leykay layeen khaas-o-aam ka
Aye marhabaa yeh hamlaa kiya tu ney kaam ka
H aan meray rustumo na amaan doh Hussain ko
N okhoun pah barchiyoun ki utthaalo Hussain ko
Taaqath huvi jo taaq Shahey deen panaah ki
Hasrath sey su-ey ganj-e-Shaheedaan nigaah ki
Raakib ko Zuljanaah ney dekha aur aah ki
Rokar Hussain bolay jo marzee ilaah ki
Dard-o-alam ki kis sey talab daad kijiyeh
Bolaa woh beyzabaan kuch irshaad kijiyeh
Shafqath sey haath ghoday ki gardhan mein daalkar
Bolay hamein kuch aankhoun sey aathaa nahin nazar
Ghoday tu chal kay ganj-e-Shaheedaan mein ghaur kar
Aaraam kartay hain Ali Akbar meray kidhar
A ye asphey ba-wafaa meray dil ko qaraar dey
A ashiq ko chal kay unkay baraabar utaar dey
Ghodaa qadam qadam su-ey maqtal huva ravaan
Yaani na Sheh kay jism ko ho sadmaa-e-takaan
Ek naujawaan ki laash pah tehraa woh naagahaan
Boo soungh kar Hussain pukaarey yehi hai haan
Baitthaa jo Zuljanaah kay aap uthrey zeen sey
Doh haath kaampthay huvey nikley zameen sey
Haathoun kay saath aayi yeh aawaaz naagahaan
Hai hai yeh gehray zakhm yeh garmi hai al-amaan
Aakar sambhaaltey nahin Abbas hain kahaan
Aao hamaari goadh mein aao nisaar maan
M arkar bhi hum judaa nahin pyaarey kay saath hain
Waari yeh teray paalney waali kay haath hain
Un haathoun ka milaa jo sahaara Hussain ko
Ghoday ney beytakaan uthaara Hussain ko
Naizaa sinaan ney daud kay maara Hussain ko
Phir toh rahaa na zabth ka yaara Hussain ko
Jalthi zameen pah ghash kayi saa-ath padhey rahey
Jallaad girdh teighoun ko kheinchey khadey rahey
Lo momino laraztha hai ab dasht-e-Karbala
Lo ghash huva Batool ki aaghosh ka palaa
Lo shimr zibhaa karney ko mazloom kay chalaa
Lo ab chhuree hai aur Nabi zaadeh ka galaa
Betay muaiy na niklee magar ab nikal padhee
M ooh dhaampoh aye Hussainio Zainab nikal padhee