Dil hai beychaen shaahey

Dil hai beychaen shaahey huda ka

Ho raha hai safar karbala ka

Qasdh hai waanh sey mulk-e-baqaa ka

Ho raha hai safar karbala ka

Bhaayi Abbas woh mashkoun waaley

A ur paani tumharey hawaaley

Saath maasoom bachchoun ka hoga

Ho raha hai safar karbala ka

Sab sey ro-ro kay kehthay hain Hazrath

A b yehi hai khuda ki mashiyath

Mujh sey chut-tha hai Naana ka Rauza

Ho raha hai safar karbala ka

Jaakay Soghra ko samjhaao bhaayi

kardoh beemaar-e-gham ki rihaayi

Saath chalnaa hai dushwaar uska

Ho raha hai safar karbala ka

Kahiyoh beti tujhey kya khabar hai

R aastha har qadam pur qatar hai

Saamna ab hai dasht-e-bala ka

Ho raha hai safar karbala ka

Saath hai meri baali Sakina

Behray ismath ka hai yeh nagina

Marqadh zindaan may iska baneigaa

Ho raha hai safar karbala ka

Saath meray mera mehlaqaa hai

H umshabi-e-Rasool-e-Khuda hai

Su-e-Maqtal chala hai yeh fidya

Ho raha hai safar karbala ka

Aaj hai Bibiyoun ko amaari

S haan sey jaarahi hai sawaari

Kal kahaan hoga inkaa yeh pardaa

Ho raha hai safar karbala ka