Soona hae Madina
Soona hae Madina
Ashoor ko aaya yeh khath-e Fatema Sughra
Soona hae Madina
Kab laotke ghar aaoge ya shah-e Madina
Soona hae Madina
Main dar pah khadi rehti hoon ek aas lagaye
bhaiyya nahin aaye
Shikva nahin Akbar se hae taqdeer se shikwa
Soona hae Madina
Do din se mere halq se paani nahin uthra
qurbaan ho Sughra
Dil kehta hae pardes mein tum pyaase ho baba
Soona hae Madina
Pardes mein bhaiyya ho agar byaah tumhara
armaan hae mera
Baandhe huve sehra meri turbat pa bhi aana
Soona hae Madina
Main raaton ko sothi hoon toh jaag utt thi hoon aksar
kya baat hae aakhir
Bikhraaye huve baal nazar aati hae Zehra
Soona hae Madina
Ek sheeshe mein kuch khaak liye phirti hain daadi
aur karti hain zaari
Mazloom Hussaina mere mazloom Hussaina
Soona hae Madina
Amma ki bhari godh rahe maang na ujde
Khaaliq se dua hae
Ya rab mere besheer ka aabaad ho jhoola
Soona hae Madina
Khath padh ke Hussain ibne Ali khoob sa roye
aur sar ko jhukaye
Qaasid ke qareeb rakh diya ek nanha sa laasha
Soona hae Madina