Aye mominou Hussain sey maqtal

Aye mominou Hussain sey maqtal qareeb hai

Aakhar hai umr manzile awwal qareeb hai

Shahr-e-madina door hai jungle qareeb hai

Zehra ka chaand chupta hai baadal qareeb hai

Lenay ke waastey malakul mauth aatay hain

Marqad ko apne paaoun sey Shabbeer jaatay hain.

Al qissa subah manzil aakhir ayaan huvi

lekin yeh subah sibt-e-nabi ko kahan huvi

Jis jaa sawari rukh kay na aagey ravaan huvi

Hairaan sipaha qasr-o-kounou makaan huvi

Chey ghode y badhlay dosh-e-nabi ke sawaarney

Lekin qhadam badd haaya na ek raahwaarney

Jumbish jo markaboun may na paayi Hussain ney

Ek musht-e- khaak jhuk ke uttayi Hussain ney

Khud soonghi aur bahein ko soonghayi Hussain ney

Humsheer ki suni yeh duhaayi Hussain ney

Hai hai yeh khaaqh pheinko meri jaan jaati hai

Bhaiyya tumhaare khoon ki bu issay aati hai

Baashindoun ko wahaan ke yeh Moula ney di nida

Naam is zameen ke jitne ho lo turn juda juda

Woh bolay aapko ho mubaarak har ek balaa

Yeh nainawaa hai maariya hai aur karbala

Maabood hai yeh khaleel ka gumbad maseeh ka

Sheh bolay ab yeh hoyegaa madhfan zabeeh ka

Abbas ko pukaaray na aagey Alam badd-haao

Manzil yehi hai chhauni pardesiyoun ki chhaao

Humshakl-e-Mustafa ko nida’dee baddhey na jaao

Beta qanaathein ghero saraachey yahin lagaao

Ghurray ko toh huva hai hamaara safar tamaam

Dasveen ko hoga Fatima Zehra ka ghar tamaam

Masnadh pay yaan bittah kay behan ko shahey huda

Kursi bichaa ke bhaitey khareeb-e-haram saraa

Thay dast bastha gird jawaanaaney mailaqa

Lay lay ke nazrain aaye zameen daar-e-karbala

Istaada farth gham sey jo Shabbir hogaye

Nazroun pay haath rakh kay baghal geer ho gaye

Bitt laakay pehluoun may inhey yeh kiya bayaan

Aye Karbaliyo mai tumhaara hoon mehmaan

Zaalim mujhey sataathay hain jaata hoon mai jahaan

Beicho jo yeh zameen toh chann din rahoon yahaan

Rehnay sey meray sab yahaan aaraam payengay

Khaak-e- shifa tumhaari zameen ko banaayengay

Deenar deykay saatt hazaar insey yeh kahaa

Baqshi tumhey zameen hibaa mainey kardiya

Shabbeer kay maamilay par sab ney ro diya

likhney lagaa qabaala zameen daar-e-Karbala

Ghul padd gaya Hussain watan ko na jaayengay

Lo moul-li zameen yaheen basthi basanyengay

Markhoom ho rahaa tha qabaala kay naagahaan

Qaimey se ek zann-e-arbiyaa huvi ayaan

Sarthaa khadam libaas mai saara badan neihaan

Par ispay yeh bhi hayaa say laraztey thay istoukhaan

Betaab hokay ulfathay Akbar sey aayi thi

Raavi ne yeh likha hai woh Zehra ki jaayi thi

Leykar balaayein bhaayi ke kuch kaan may kaha

Aur jaldi youn phiri kay na saaya nazar pada

Kursi sey yaan tadap kay giray shaahey Karbala

Abbas nay uttaakay kaha haaye kya huva

Moula batha qasam tujhe sheer-e-batool ki

Kya keh gayee nawaasi janabe Rasool ki

Sheh bolay aah mujhsey yeh Zainab ka tha kalaam

Bhaiyya qabaalay mai meray Akbar ka hovey naam

Yaaney ke iski milk may ho yeh zameen tamaam

Abbas jaavo kehdo kay majboor hai Imaam

Attaara saal kay yeh zamaanay se jaayenge

Ek qabr ki jaghay Ali Akbar bhi paayenge

Abbas khaimay may gaye denay ko yeh payaam

Zainab ne dekhte hi inhey yeh kiya kalaam

Kyon bhaayi meri baat pay raazi huvay Anaam

Likhaa gaya qabaalay may Akbar ka meray naam

Dulha banaoongi main dulhan biyah laaoongi

A kbar ke naam ki yahaan basthi basaoongi