Nauha
Abbas tujhe ahle wafa yaad karenge
Aashur ki woh raat, woh sannatay ka aalam
Fitrath ki khamoushi mai farishtoun ka woh matam
Soya huva run mein Asadullah ka zaigham
Aur khoon mai dooba huva Islam ka parcham
Dekhi na gayi bachchoun ki jab tashnadahani
Aankhoun mai khataknay lagi maujoun ki rawaani
Paani kay liyeh apna lahoo kar diya paani
Bachpan pay Sakina kay fida kardi jawaani
Qabzey mai thee talwar ke khabzey mai khudayi
Doh haath chalee thee kay taraayi nazar aayi
Bhaayi ki vigha dur say dekha kiye bhaayi
Yun shaan-e-wafa tunay wafadaar dikhayi
Duniya say gaya shaan wafaoun ki dikhakar
Paani na piya phenk diya muh say lagaakar
Ghodey say gira khaak pay baazu ko kataakar
Soya bhi tho soyi huvi millath ko jagaakar
Aye Fatima Zehra kay Qamar nayaar-e-taabaan
Baazu-e-Hussain Ibne Ali nasir-e-imaan
khaaliq ki qasam kar gaya Islam pa ehsaan
Aye mashk-e-Sakina kay mohaafiz teray qurbaan
Kazim koyi karta hai tho karney doh bahaana
Goonjayga fizaaoun may wafaaoun ka taraana
Har rang may dhal jaayega yeh gham ka fasana
Fitrat toh na badhlegi badal jaye Zamana
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas
Kya isi din ke liye maangi thi Baba ney dua
Aake pardes may hojaoge tum hum se juda
Sothay ho chaen se dariya ke kanaarey Bhaiyya
Kya sunaayi nahin dethi tumhey halmin ki sadaa (Abbas)
Tanha hain khadey run may Sarwar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Gir ke ghodey sey sadaa baap ko Akbar ney jo di
Dilbar-e-Fatema Zehra ki ajab haalat thi
Haath malthe thay kabhi ghaat ko takhtey thay kabhi
Thaamkar tooti kamar kehthe thay farzande Nabi (Abbas)
Laoon kaise laasha-e-Akbar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Haal Shabbir ka ab toh nahin dekha jaata
Hai Kamar qam nahin aankhoun sey sijhaayi detha
Yeh zaeefi yeh jawan laal ka sadhmaa bhaiyya
Thaamlo baddke zara haath tumhi bhaayi ka (Abbas)
Khaathey hain tokhar par tokhar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Kya isi din ke liye saath behan thi aayi
Aagayi neend jo dariya ki taraayi paayi
Phir palatkar hamey surath bhi nahin dikhlaayi
Aagava run sey Alam tum nahin aaye bhaayi (Abbas)
Phat tha hai mera sadhmey se jigar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Aye meray shair-e-jawan Aye meray bhaayi ho kahaan
Shaaq hai dil pa tumhaari yeh judayee ho kahaan
Deir sey dethi hoon bhaiyya main duhaayi hoon kahaan
Lut thi hai Fatema Zehra ki kamaayi ho kahaan (Abbas)
Khanjar hai halq-e-Sarwar par (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Hai qayaamat ka samaa loot hai khaimoun may machi
Koyi pursa nahin haalath hai ajab bachchoun ki
Taaziyane koyi khaata hai tamaache koyi
Aag daaman may hai masoom Sakina ke lagi (Abbas)
Bhaiyya utto lo jald khabar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Azmath-o- izzat sadaat bhulaadi bhaayi
Aag khaimoun may layeenou ney lagaadi bhaayi
Masnadh-e-Ahmad mursal bhi jalaadi bhaayi
Touq-o-zanjeer bhi Abid ko pinhaadi bhaayi (Abbas)
Ghash may hai pada mera dilbar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Bhaayi ko bhool gaye dhyaan na behnon ka raha
Yaad aaya na koyi paayi jo dariya ki havaa
Haaye kis dil se kiya tum ne gavaara bhaiyya
Har tamaache pa Sakina ne tumhe yaad kiya (Abbas)
Jab chhine gaye kaanon se gauhar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Chhod kar dasht-e-museebath may behan ko bhaayi
Tum ney achcha hi kiya dur basaayi basti
Dekh sakthe thay kahaan tum jo thi haalath meri
Balva-e-aam may bhaiyaa main khule sar hoon khadi (Abbas)
Aada leigaye sar sey chaadar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Aayi haatif ki awaaz sheh ko
Uthro Shabbir yeh karbala hai
Bas qadam ab naa aagay baddhaao
Uthro Shabbir yeh karbala hai
Ab safar khatm hai ibne Zehra
Labay darya karo Qaima barpaa
Hashr takh hai yaheen tumko rehnaa
Uthro Shabbir yeh karbala hai
Yaheen nauroz mehmaan rahogay
Khaaney peenay ki ezzaa sahougay
Bhookay pyaasey yaheen qatl hongay
Uthro Shabbir yeh karbala hai
Marthay dum takh na paani milegaa
Pyaasi gardhan pa khanjar chaleigaa
Sar chadheigaa sinaan par tumhaara
Uthro Shabbir yeh karbala hai
Laash chaalees din takh tumhaari
Isi jungle may ooriyaan rahegi
Ronay waala bhi hoga na koyi
Uthro Shabbir yeh karbala hai
Khaayegi jab Sakina tamaachey
Yaheen Tadpeygaa laasha tumhaara
Shimr deigaa yaheen usko ezza
Uthro Shabbir yeh karbala hai
Bulaakar sab ko Hazrath ney kahaa aye Karbala waalo
Hamein darkaar hai thodi si jaa aye Karbala waalo
Iraada hai isi jungle main apna ghar basaaengay
Na ho taa hashr ab tumsey judaa aye Karbala waalo
Khudaara marney waaloun ki na roko raaha rehnay doh
Mujhey laayi hai yahaan meri qazaa aye Karbala waalo
Raheygi taaba chehlum laash bey ghusl-o-kafan sabki
Meray naamoos hongay bey ridaa aye Karbala waalo
Main chupp jaaoonga gar ek ek mutthi khaak daalogay
Yoonhi banjaayega marqadh mera aye Karbala waalo
Muhibb aayein jo baad-e-margg beykas ki ziyarath ko
Bathaa deina unhein mera pathaa aye Karbala waalo
Hamaari qabr par aana toh doh aansoo bahaa jaana
Miley fursath toh padhna faateha aye Karbala waalo
Mileiga chaen baad-e-margg bhi mujhko na turbath main
Milega hashr takh madhfan mera aye Karbala waalo
Qaasidh mera qath leijaa ehsaan badaa hoga
Baba mera koofay mein mehmaan huvaa hoga
Qaasidh meray Baba ki pehchaan badi yeh hai
Abbas Alam leikar baazu mein khadaa hoga
Qaasidh meray bhaayi ki shaadi kay yehi din hain
Hum shakl-e-Payambar hai sehra bhi bandhaa hoga
Qaimon mein khabar deina,qaasidh hoon main Soghra ka
Meray gham-e-furqath mein, ek shor machaa hoga
Deinay ko rakhaa kya hai, ley-lijiyo tu jaakar
Akbar ney meraa tohfaa eedi ka rakhaa hoga
Soona hae Madina
Ashoor ko aaya yeh khath-e Fatema Sughra
Soona hae Madina
Kab laotke ghar aaoge ya shah-e Madina
Soona hae Madina
Main dar pah khadi rehti hoon ek aas lagaye
bhaiyya nahin aaye
Shikva nahin Akbar se hae taqdeer se shikwa
Soona hae Madina
Do din se mere halq se paani nahin uthra
qurbaan ho Sughra
Dil kehta hae pardes mein tum pyaase ho baba
Soona hae Madina
Pardes mein bhaiyya ho agar byaah tumhara
armaan hae mera
Baandhe huve sehra meri turbat pa bhi aana
Soona hae Madina
Main raaton ko sothi hoon toh jaag utt thi hoon aksar
kya baat hae aakhir
Bikhraaye huve baal nazar aati hae Zehra
Soona hae Madina
Ek sheeshe mein kuch khaak liye phirti hain daadi
aur karti hain zaari
Mazloom Hussaina mere mazloom Hussaina
Soona hae Madina
Amma ki bhari godh rahe maang na ujde
Khaaliq se dua hae
Ya rab mere besheer ka aabaad ho jhoola
Soona hae Madina
Khath padh ke Hussain ibne Ali khoob sa roye
aur sar ko jhukaye
Qaasid ke qareeb rakh diya ek nanha sa laasha
Soona hae Madina