Durood padh ke watan ko chala

Durood padh ke watan ko chala Hussain ka laal

Qareeb pahunchi Madine ko jab rasool ki aal

Toh apne hathon pah Zainab ne rakhe sar ke baal

Kaha Madine se Kulsoom ne ba ranjo malaal

L uta ke aaye hain Zehra ke sab gharane ko

N a kar qubool tu hum bekason ke aane ko

Madina hum tere waali ko aaye hain khokar

Madina gardane Shabbir par chala qanjar

Madina Koofe mein sar nangay hum phire dar dar

Madina daage rasan hae hamare shaanoun par

H um aaye zinda pah Zehra ka noor ain nahin

M adina Akbaro Qasim nahin Hussain nahin

Hili zameen Madine ki us ghadi paiham

Kiya Basheer ko Sajjad ne talab us dum

Gale mein shaale aza daal di ba deedaye num

Aur uske haath mein rokar diya siyah alam

Kaha ke jaa nahin go apne moonh dikhane ki

M agar watan mein qabar kardo mere aane ki

Chala Basheer yeh deta hua qabar har jah

Magar mohallae Hashim mein dekhta hae kya

Ke ek mareeza sare raah hae khadi tanha

Jo naam poocha toh roro ke boli woh Sughra

Basheer kehne laga kyon tu shoro shain mein hae

Kaha yeh haal mera furqate Hussain mein hae

Basheer samjha yeh binte Hussain hae Sughra

Qaamosh rah gaya Sughra ke moonh pah kuch na kaha

Pukari Fatema gardan mein dekh shaale aza

Tu bhai laya hae kiski sunaani mujhko suna

Woh bola qaaside beemare Karbala hoon main

S unani qabre payambar pah le chala hoon main

Woh boli roroke bhai yeh kya sunata hae

Woh kaun hae jise beemar tu batatah hae

Sunani kiski hae yeh mujhko howl aatah hae

Kay Mustafa ki lehad se tu kehne jatah hae

A mama phenk kay usne kaha duhaai hae

Tere Hussain ki Sughra sunane aayi hae

Zameen pah haaye pidar kehke gir padi Sughra

Qabar yeh phaili toh matam har ek ghar mein hua

Tamaam auratein nikli gharon se karti buka

Nabi ki qabr pah jaake Basheer ne yeh kaha

S afar se lut ke idhar bhooki pyaasian aayi

Utho Rasool tumhari nawaasiyan aayi

Basheer kehta hae wallah rouza kaamp gaya

Lehad se naala hua wa Hussain ka paidah

Idhar zameen pah tadapti thi Fatema Sughra

Zanane Hashimiya ne wahan hujoom kiya

H ila ke shaana kaha shah-e-mashraqain aae

Utho Hussain ke aashiq utho Hussain aaye