Haye kis bekaso mazloom ka

Haye kis bekaso mazloom ka yeh maatam hae

Fatema aayi hae ronay ko yeh kiska gham hae

Nange sar saath hain hoorein bhi ajab aalam hae

Ronay waloun se yeh irshad bhi toh paiham hae

Ronay walo tumhe ronay ka sila dene ko

Fatema aayi hae tum sabko dua dene ko

Aey azadaro tumhe qaliqe Akbar ki qasam

Kaun mazloom hae woh tumko payambar ki qasam

Naam low uska zabaan se tumhe Hyder ki qasam

Be zubaan hansliyon waale tumhe Asghar ki qasam

Rokay kehdo koi bekaso maghmoom nahin

Juz Hussain Ibne Ali aur koi mazloom nahin

Yahi mazloom Madine ka hae rahne waala

Ek saydani ne faaqon mein jise tha paala

Teesre burje imamat ka yahi hae haala

Ek bekas pah sitam hae yeh falak ne daala

Subah se asr talak ghar ko lutaya isney

Margaye sab toh gala apna kataya isney

Haan payambar ke Madine ka musafir hae yehi

Apne nana ki lehad ka bhi mujawar hae yehi

Jisko pani na mila ta dum-e-aqir hae yehi

Jis pah sadqa huve Ayub wo Sarwar hae yehi

Bekaso bewatano tashna dahan kehte hain

Isi mazloom ko mohtaje kafan kehte hain

Ya Hussain aapki mazloomio ghurbat ke nisaar

Sar ko katwa diya kis shaan se himmat ke nisaar

Tahe qanjar bhi kiya sajda ibadat ke nisaar

Nangay sar dekha na hamsheer ko ghairat ke nisaar

Hoon fida aap pah moonh ashkon se dhone waale

Ya Hussain aap pah sadqe ho yeh ronay wale

Dekha is bekaso mazloom ki shane ghurbath

Chote bete ki lahad khodi hae uf ray himmat

Kaampte haathon se aaqa ne banai turbat

Kya kahein kis se kahein qalb ki apni haalath

Chand ko apne tahe qaak chupaya hae abhi

Hansliyon waale ko turbat mein sulaya hae abhi

Kis qadar bekas-o majboor tha yeh shahe gharib

Na kafan chote se sayyad ka hua usko naseeb

Sar ko katwae hue sote hain sab uske habeeb

Pyaas se teen shab-o roz se haalat hae ajeeb

Ya Ali kehke sambhala hae dile muztar ko

Qoon bhare kurte mein dafnaya Ali Asghar ko

Roke dete hain sada ae mahe anwar bolo

Ae mere chote shaheed ae mere dilbar bolo

Baap ko chod ke tanha gaye kyonkar bolo

Dard kaisa hae gale mein Ali Asghar bolo

Goadh mein baith ke sab haal sunana beta

Teer ka zaqm bhi dadi ko dikhana beta