Sajjad jab dobaara aseer
Sajjad jab dobaara aseer-e-jafaa huvey
Zanjeer aur touq mein phir mubtelaa huvey
Roohey Rasool-e-paak ko sadmey siwaa huvey
Dard-o-alam Batool ko la intehaa huvey
Ghul tha kay phir Madiney ki basti ujaddti hai
Gardanh mein touq paaon mein zanjeer padti hai
Likha hai jin dinon yeh huva zulm aashkaar
Ghar mein bohath aleel thi Zainab jigarfigaar
Pahunchi khabar jo qaid ki Abid kay ek baar
Utthi asaa ko thaam kay ba chashmey ashkbaar
A azaa-e-jismey paak baham kaampney lagey
A aye jo dar talakh toh qadam kaampney lagey
Roay phupi ko dekh kay Abid ba haaley zaar
Itney mein hukm paakay chali fouj-e-naabakaar
Aagey toh qaid jaatey thay Sajjad-e-naamdaar
Thaa unkay peechey naaqa-e-Zainab jigarfigaar
Utta tha dil mein dard qadam thar-tharaatey thay
M ehmil ko dekh-dekh kay aanson bahaatey thay
Jab sab isi tarhaa sey huveen manzil-e-tamaam
Sehra milaa tab ek qareeb-e-dayaarey Shaam
Din chupp gaya namood huvi shaam teerafaam
Us din rayees-e-shaam ney sab sey kiye kalaam
Uthro yaheen kay raahat-e-aab-o-taam ho
Behtar yeh hai kay shab ko isi ja muqaam ho
Yeh baat sunkay tham gayi sab fouj-e-naabakaar
Kamrey khuley utar padey ghodon sey sab sawaar
Bistar lagey bapaa huvey khaimey phir ek baar
Ghul chaar su huva kay aseeron sey hoshiyaar
I n ki taraf sey khauff humein bey sabab nahin
S hakhjoon girey agar toh kuch iska ajab nahin
Alqissa jis ghadi kay numaayaan huvi saher
Lashkar huva yazeed ka aamaada-e-safar
Utthi wazu ko khwaahar-e-Sultan-e-Behrobarr
Fizza ney jaanemaaz bichaayi bachashmey tarr
E kka ek dum malool siwaa huvi jaati theen
Zainab namaaz paddti thi aur rothi jaati theen
Faariq huveen dua sey jo Zainab ba chashmey tarr
Fizza ko tabh bulaa kay yeh boli woh nauhaagar
Yaan sey bohath qareeb hai sunti hoon woh shajar
Khooli ney jis darakht mein baandha tha Sheh ka sar
L ey chal wahaan pey Fatima Zehra ki jaayi ko
R o-ungi us darakht kay neechey main bhayi ko
Uttkar qareen-e-shajar kay jo pahunchi kushaan kushaan
Bey ekhtiyaar aankhon sey aansoon huvey rawaan
Aaya nazar jo khooney sarey Shah-e-naagahaan
Liptteen shajar seykhwaaharey Sultan-e-Inso-jaan
Chillaati thi kay jaan-e-hazeen nikli jaati hai
Bhaiyya tumhaarey khoon ki booh mujko aati hai
Royi bayaan kar kay jo Zainab ba haaley zaar
Maabayn-e-dasht-e-haaye Hussaina ki thi pukaar
Ek baagh tha wahaan kay har ek gul tha jiska khaar
Tha mohtemam wahaan ka tameem-e-sitam shayaar
Zulmat ayaan thi kufr ki us badh khisaal sey
R akhta tha bugz dil mein Mohammad ki aal sey
Aayi sadaa jo kaan mein ronay ki ek baar
Teori chaddhaaye baagh sey niklaa woh badhshiyaar
Dekha kay ek zaeefa-e-ghaamgeen-o-sogwaar
Liptee huvi darakht sey rothi hai zaar zaar
R aashaa hai tanh mein rang bhi chehray ka zard hai
Dushman bhi ro rahey hai yeh baaton mein dard hai
Poocha yeh isney aakay qareeb-e-sipaahey shar
Aurath yeh kaunsi hai jo rothi hai is qadar
Bola koyi shaqi kay tujhey kya nahin khabar
Zainab yehi hai aashiq-e-Sultan-e-behrobar
M uddath sey sogwaar Shahey tishnakaam hai
Yeh khwaaharey Hussain Alaihis salaam hai
Sunna tha yeh kay ghaiz mein ayaa woh badh zubaan
Pahuncha qareeb-e-dukhtar-e-Khatoon-e-insojaan
Tha aahni jo haath mein ek bailchaa-e-giraan
Maara shaqi ney farq pey Zainab kay naagahaan
Ghash aagaya zameen pa tharraakay gir padein
S ar par lagi woh zarb kay tyuraakay gir padein
Abid yeh sunkay laash pa pahunchey ba chashme nam
Chehrey ko dekh dekh kay roay basad alam
Ro ro kay ghusl denay lagey Sarwar-e-umam
Dekhey nashaan rasan kay jo baazu pey hai sitam
Boley nishani sipaah-e-naabekaar hai
Baad-e-fanaa bhi daagey rasan aashkaar hai
Jis waqt ghusl dey chukay Sajjad-e-dilfigaar
Tayyaar qabr bhi huvi itney mein ek baar
Go kaamptey thay zouf sey woh dast-e-raashadaar
Abid ney khud lahad mein utaara bahaaley zaar
Tadpaa jigar yeh shiddat-e-aaho bukaa huvi
Turbat jo bandh ki toh qayamat bapaa huvi