Aaj Imaam-e-Raza shaheed
Aaj Imaam-e-Raza shaheed huvey
Shahey har doh saraa shaheed huvey
Sehkay ranj-o-balaa shaheed huvey
Khakay zehr-e-daghaa shaheed huvey
S hah kay sab ghulaam rothay hain
H umsey rukhsath Imaam hothay hain
Tha joh mamoon rasheed baani-e-shar
Dushman-e-khaandaan-e-paighambar
Tha jo aamaada zehar deinay par
Shah ko phir talabh kiya aakhir
S un kay shah-e-anaam ghar sey chalay
H okay rukhsath Imaam ghar sey chalay
Jab nazar aayi qabr-e-paighambar
Hil gaya seenay may dil-e-muztar
Jaakay liptay lahad say phir Sarwar
Aur kiya khitaab yeh ro ro kar
E k lehzaa na chaen paaya hoon
R ukhsath-e-aakhri ko aaya hoon
Kehkay rukhsath huvey Imaam-e-Raza
Thaa Madinay may thahelkaa barpaa
Koyi khadmoun sey liptajaata tha
Aur laboun pay kisi kay thi yeh sadaa
A ye shaahey Ausiya Khuda haafez
A ye Imaam-e-Raza Khuda haafez
Thaih manaazil ko karke phir ek baar
Aaye darbaar may shahey Abraar
Uttha taazeem-e-Shah ko woh makkaar
Paas apney bitthaa liya zinhaar
Tabh kahaa shah say yeh woh maghroor
A ap is waqt khaaiyeh angoor
Jabr say is layeen ke wa-waila
Kha kay angoor ko utthey Maula
Poocha mamoon ney chalay kisjaa
Kaha Hazrat nay tu jahaan bheijaa
Khakay yeh shah khaso aam chalay
S ar pa daalay abaa Imaam chalay
Ghar may aakar thadap rahay thay Imaam
Zeher nay kar chukaa tha apna kaam
Khaiy jo aayi liya jigar ko thaam
Tha na ek lehzaa aapko aaraam
Yaas thi bekasi thi ghurbath thi
M eray Moula pa kya museebath thi
Muztarib thay bohot shahey zeejah
Ghash joh taari huva Imaam pay aah
Hichki jo aayi maut ki naagaah
Phir kaha La Ilaha Illallah
Tanh sey rooh-e-raza idhar niklee
Qabr sey Fatema udhar niklee