Bistarr sey thar tharaa kay utthi
Bistarr sey thar tharaa kay utthi thaamkar asaa
Qabr-e-Nabi pa faatahey aakhri padhaa
Hum saeeyoun kay ghar gayee rukhsath ko aur kahaa
Loh saahibo bahel karo ab kooch hai meiraa
E izza thi turn sabhoun ko meray shor-o-shayn sey
Kal Fatima na hoyegi turn sona chaen sey
Hum saaiyaah kay huqooq sey aagaah hai jahaan
Logo meray yateemoun sey rehna nigaahabaan
Ab saath inka aur tumhaara hai hum kahaan
Bin maa kay hothi hai meri dukhyaari betiyaan
Bachpan pa apney bachchoun kay aansoo bahaathi hoon
Tumpar Hasan Hussain ko main choday jaathi hoon
Rokar kabhi Hasan ko galay sey lagaa liya
Aaghoush main Hussain ko gaahey bitthaa liya
Rukhsath kiya kisi ko kisi ko bulaa liya
Paddney kay waasthay kabhi Quraan utthaa liya
Kehthi thi gaah bachchoun sey mooh apna modd kay
Kal soonay ghar main sona hai basthi ko chodd kay
Sunn loh waseeyathein meri is waqt ya Imaam
Fizza sey meray baad adaalath sey leyna kaam
Hushyaar Fatima ki amaanath sey subho shaam
Doh betiyaan doh betay hain bas aur Khuda ka naam
M ainey baday dukhoun sey yeh bachchey paalay hain
H aq kay hawaaley tum yeh tumhaarey hawaaley hain
Hai aarzoo kay Qabr main mujhko Hasan litaaye
Shabbir meray laashey ka mooh Qibla roo phiraaye
Phir khud kahaa nahin nahin bachcha hai darr na jaaye
Naagaah khelthay huvey dono yateem aaye
Chaathi lagaa kay boli kay lo hum toh marthay hain
Turn sey sulook dekhiye kya loug karthay hain
Leykar balaayein beti ki Zehra ney yeh kahaa
Rothi toh hoon ziyaada na Zainab mujhey rulaa
Kuch bhaaiyoun kay sompney ka samjhi mudh-dua
Tu inki ronay waali hai Zehra teray fidaa
Kya bas mera jo marzi-e-Parwardigaar hai
Zainab tamaam kunbey ki tu soghvaar hai
Yeh kehti thi kay ghash ney diya mauth ka payaam
Hujreh sey nikley rothay huvey aqrobaah tamaam
Tarteeb-e-laash kay liye baahar gaye Imaam
Zehra ney yaan musalley pa apna kiya muqaam
L ikhaa hai bas namaz isha ki adaa huvi
A ur ghul utta kay binte nabi ki qazaa huvi
Maatha Hassan ney laashey kay maathey pa rakh diya
Ro ro kay amma amma kahaa aur ghash huva
Talvoun sey apney maathey ko Shabbir ney malaa
Paaoon main dam na paaya toh yeh kaan main kaha
M ain aapka ghulaam hoon aur noor-e-ain hoon
A awaaz doh Hussain hoon amma Hussain