Jab naujawan pisar shahe
Jab naujawan pisar shahe deen se juda hua
Roshan qamar sipehre bareen se juda hua
Noore nazar imaame mubeen se juda hua
Laqte jigar Hussaine hazeen se juda hua
Dil daag ho gaya dil-e jaane Batool ka
Ghar bay chiraag hogaya sibte rasool ka
Barchi se tukde hogaya laqte jigar ka dil
Khud baap ne chida hua dekha pisar ka dil
Hota hae aab geena se naazuk bashar ka dil
Pathar ka dil nahin hae yeh dil hai pidar ka dil
Ayoob bhi agar ho toh dum bhar na kal pade
Aansoo thamay toh moonh se kaleja nikal pade
Peeri mein aafate ghame aulad al amaan
Dil aur zaqm qanjare foulad al amaan
Woh izterab qaatire naashad al amaan
Woh ashke soz aur woh fariyad al amaan
Beta na ho toh zeest ka phir kya maza raha
Jab ghar ujad gaya toh zamane mein kya raha
Bichda woh laal jis ka gawaara na tha firaaq
Farmaate thay ke loot liya tu ne ae Iraq
Ae mauth jald aake bas ab zindagi hae shaaq
Qanjar ki arzoo hae shahadat ka ishtiyaaq
Barbaad is tarha koi aabaad ghar na ho
Kya zindagi ka lutf jab apna pisar na ho
Sab chahen jiski zeest woh sher-e-zhiyan marey
Afsos neem jaan jiye jaane jahan marey
Paida toh kis jagah huve aakar kahan marey
Qudrat Khuda ki peer jiye naujawan marey
Is umr mein jahan se guzarne ke din na thay
Kehta hae qud shabab ke marne ke din na thay
Pyaare na thay Hussain alaihis salam ke
Laayi haram saraa mein bahen haath thaam ke
Tharra rahe thay paoun shahe tashna kaam ke
Sar dosh par tha Zainabe aali maqaam ke
Farmaate thay bahen Ali Akbar guzar gaye
Hum aise saqt jaan thay ke ab tak na mar gaye
Pursa tumhe shaheed ka deney ko aaye hain
Kis kis ke daag aaj jigar par uthae hain
Peete hain qaak udaae hain aansu bahae hain
Yeh hum tumhare laal ke khoon mein nahaae hain
Sar tha Hussaine bekaso tanha ki goadh mein
Bete ki jaan nikli hae baba ki goadh mein
Yeh sun ke bibiyon ke jigar par churi chali
Zainab zameen pa girkay pukaari ke ya Ali
Sirrey qafi jahan ke hain sab aap par jali
Jaata hae sarkashon mein yeh kownain ka wali
Bekas ko aasra hae pisar ka na bhai ka
Baba yehi toh waqt hae mushkil kushaai ka
Ya Mustafa balah mein phansa hae tumhara laal
Ya shere zuljalaal dikhao inhein jalaal
Ya Fatema mein lut thi hoon bikhrao sar ke baal
Ya rab ulat dey aaj yeh sab arsie qitaal
Phir kya kisi se kaam hai sab se judaa rahoon
Bhai ko apne lekey mein jungle mein ja rahoon
Dekha yeh kehke baali Sakina ki yaas se
Lipti woh daud kar shahe gardoon asaas se
Taaqath na thi kalaam ki har chand pyaas se
Boli woh tashna kaam shahe haq shinaas se
Kya is bala ke bun se tahiya safar ka hai
Sadqe gayi batao iraadah kidhar ka hai
Farmaaya sheh ne sabr bahen chahiye tumhein
Qaliq ki yaad sirro alan chahiye tumhein
Lab par raza raza ka suqan chahiye tumhein
Jo maa ka tha chalan woh chalan chahiye tumhein
Ab aaqri bahen yeh sawaari hamari hai
Baad in buzurgwaron ke baari hamari hai
Farmaya sheh ne haan safar-e-na guzeer hai
Aao gale lago ke yeh sohbath aqeer hai
Ab arzoo-e-qurbe Khuda-e qadeer hai
Tanha hai hum sipahey muqalif kaseer hai
Teh ho yeh marhala jo eeyaanath Khuda karey
Jiska na koi dost ho bibi woh kya kare
Jaana hae door shab ko jo aana na ho idhar
Zid karke roiyo na hamein chahti ho gar
Pehle pehal hai aaj shabe furqate pidar
So rahiyo maa ki chaati pah ghurbat se rakh kay sar
Rahat ke din guzar gaye yeh fasl aur hai
Ab yoon basar karo jo yateemon ka taur hai
Nanhay se haath jod ke boli woh tashna kaam
Batlaiye mujhe ke yateemi hae kis ka naam
Ankhon se qoon baha ke yeh kehne lage imam
Khul jayega yeh dard-o-alam tum pah taa-ba shaam
Bibi na poocho kuch yeh museebat azeem hai
Mar jaae jiska baap woh bachha yateem hai