Afsous Nabi Zaadiyoun ka
Afsous Nabi Zaadiyoun ka Shaam mein jaana
Sajjad sey poocho
Sar nangay woh Maa behnoun ka darbaar mein jaana
Sajjad sey poocho
Chhuptee thi Nabi zaadi Nabi zaadi kay peechay
Kis sharm-o-hayaa sey
Aur shimr ka un bibiyoun kay naam bathaana
Sajjad sey poocho
Thi ek rasan baaraa Aseeron kay galay thay
Sab chupkay khaday thay
Rassi mein bandhey Zainab-o-Kulsoom ka aana
Sajjad sey poocho
Sar Hazrat-e-Muslim ka lataktaa thaa jahaan par
Wahan Sheh ka ruka sar
Durray sitham eejaad ka uss waqt lagaana
Sajjad sey poocho
Durr chheenay Sakina kay tamaachey bhi lagaaye
Kis zulmo jafaa sey
Ghurbath mein sithamgaaron ka Sakina ko sathaana
Sajjad sey poocho
Jab Baali Sakina ko ghusal deytay thay Sajjad
Faryaad hai faryaad
Uss nanhee si gardan pey nishaan rassi kay paanaa
Sajjad sey poocho
Baitthey huvey sab kursiyon par chotay baday thay
Saadaath khaday thay
Sar tasht mein rakkha huvaa Zainab ko dikhaana
Sajjad sey poocho
Ghash khaakay giray Syed-e-Sajjad zameen par
Barpaa huvaa mehshar
Naizey ki anee sey unhein uss waqt utthaanaa
Sajjad sey poocho
Baitthey huvey sab kursiyon par chotay baday thay
Saadaath khaday thay
Sar tasht mein rakkha huvaa Zainab ko dikhaana
Sajjad sey poocho
Ghash khaakay giray Syed-e-Sajjad zameen par
Barpaa huvaa mehshar
Naizey ki anee sey unhein uss waqt utthaanaa
Sajjad sey poocho