Aamadh hai Ahlebaith-e-Payamber
Aamadh hai Ahlebaith-e-Payamber ki Shaam main
Gaysoo khuley huvey hain aza-e-Imam main
Sar peet thi hai Fatema Daarus salaam main
Zainab yeh nauha karthi hai balwaa-e-aam main
L ogo khabar karo meray naana Rasool ko
Balway main shimrn laaya hai binte Batool ko
Naana teri nawaasi kay sar par ridaa nahin
Aur ahley shaam dekhtay hain kuch hayaa nahin
Abid ghareeb marthaa hai taph sey dawaa nahin
Beyhoush nanhey bachchey hain aab-o-ghizaa nahin
Dil sab ke kaampthay hain badhan thar tharaathay hain
A b saamney yazeed kay sadaath jaathey hain
Hain ek rasan main baara galay waah museebatha
Rothay hain godhiyoun kay palay waah museebatha
Bas main sitamgaroun kay chalay waah museebatha
Khaak-e-aza hain mooh pa malay waah museebatha
M ushkil qadam utthaana tha us izdihaam main
Yoon ithrath-e-Nabi gayee balwaa-e-aam main
Zainab tadap kay oontt pa karthi thi yeh bayaan
Darbaar main talab huvey saadaath naagahaan
Oontoun sey uthri bibiyaan keh keh kay al-Amaan
Peish-e-yazeed ley gaya zaalim kashaan kashaan
S aamaan-e-jashn-e-aam tha darbaar-e-aam tha
A ur nangay sar Hussain ka kunbaa tamaam tha
Muthrib taraana sanjj thay raqqaas shaadmaan
Padthey thay tehniyath kay qasiday qasidakhawn
Haazir vakeel-e-rome-o-khoothan baashikoh-o-shaan
Haathoun pa nazr fathaa liye khurd aur kalaan
Chillaathi thi Batool yeh zulm-e-shadeed hai
Ya Rab teiray Hussain kay marney ki eid hai
Naagaah baddkay shimr-e-layeen ney kiya salaam
Bolaa kay aye ameer yeh shaadi ka hai muqaam
Ummeedwaar-e-qallath-o-jaageer hai ghulaam
Haazir hai sar shaheedoun kay aur ithrath-e-anaam
Baddkar pukaara murraah kay apna jigar hai yeh
L ey hum shabihey khaas Payambar ka sar hai yeh
Wallah iskay ranjo alam main basadh bukaa
Farzandh-e-buturaab bahaathar jagaah giraa
Yeh zikr tha kay hashr ka saamaan hogaya
Ghabraagaya yazeed kay yeh kya ghazab huva
Dekha toh hurmulaa bhi bahot shaad aathaa hai
S ar ek chotay bachchey ka haathoun pa laatha hai
Hai khoon-e-halq halq kay oopar jamaa huva
Nanhaa sa mooh hai pyaas kay maaray khulaa huva
Baachoun main doodh dono taraf hai bharaa huva
Suraaq-e-teer-e-zulm galay main padaa huva
I s khoon par yazeed ney jisdum nigaaha ki
Us sey bhi zabth ho na sakaa rokay aaha ki
Bolaa bathaao isney bhalaa ki thi kya qathaa
Tu ney isey nishaana kiya teer-e-zulm ka
Bachchey pa bhi na khaaya taras tu ney beyhayaa
Yeh nanhaa sa galaa woh teira naawak-e-jafaa
Bathlaa toh kis falak ka yeh mehray muneer hai
Baanu pukaari baddkay yeh mera sagheer hai
Hairaan khadey thay sab harum-e-Shaahey Mashraqain
Mohray sukooth labb pa na shikwaa na shor-o-shayn
Zainab ney dekha taqth pa naagaah sar-e-Hussain
Bey saaqthaa tadap kay yeh karney lagi woh bayn
H ai hai na mauth aayi mujhey raahey shaam main
Bhaiyya mera salaam lo darbaar-e-aam main