Jab run may Sibtey Ahmad-e-mukhtaar
Jab run may Sibtey Ahmad-e-mukhtaar ghir gayaa
Syed ghareeb bekas o beyaar ghir gayaa
Ahley haram ka qaafila salaar ghir gayaa
Lashkar tamaam hogaya sardaar ghir gayaa
Ghul tha Amaan doh na shahey mashraqain ko
Nokoun sey barchiyoun ki giraadoh Hussain ko
Jis roz tha yeh hashr yeh maatam yeh shor-o-shar
Aa pahooncha ek musaafir-e-ghurbat zadaa udhar
Nikla tha ghar sey shauq-e-Najaf may woh khush siyar
Choday huay watan usay guzra tha saal bhar
Bay qanuma ko ishq khuda ke wali ka thaa
Mushtaaq woh ziarat-e-qabrey Ali ka thaa
Pahooncha jo karbala may toh dekha yeh usney haal
Tanha khada hai ek musaafir lahoo may laal
Fauj-e-sitam ki gird thee amaadey qitaal
Chaltay hain teer paani ka kartha hai jab sawaal
Az bas ke ahley dard tha betaab ho gaya
Pani ke maangnay pa jigar aab ho gaya
Kahney lagaa laraz ke woh zeeqadr-o-nekh naam
Allah kis qadar hai puraashob yeh muqaam
Darya Khuda ney khalq kiye behray faiz-e-aam
Marthaa hai bay ajal yeh sitam kash yeh tashna kaam
Unsay basher darey jinhey khauff-e-Khuda naheen
Jaldi nikal chalo yeh teharnay ki jaa naheen
Doh chaar gaam chalkay yeh souncha woh naamvar
Mazloom ki dua may hai har tarhaa ka asar
Wallah barguzeeda-e-Haq hai yeh khush siyar
Kar leejeh iltemaas-e-dua haath baandh kar
Teighoun may iskay paas chalo jo Khuda karey
Aasaan ho mushkilein jo yeh beikas dua karey
Aaya jo kaamptha huva woh shah-e-deen ke paas
Ki arz assalaamo alaik aye falak asaas
Maula jawaab deikay yeh bolay badard-o-yaas
Aana hua kidhar say tera aye Khuda shinaas
Arz usnay ki ghulam-e-shahey zulfiqaar hoon
Bekas hoon benawaa hoon,ghareebu-dayaar hoon
Doh Sahiboun ke shauq may chodaa hai mainey ghar
Hasrath yeh hai naseeb karey yaawari agar
Pehlay tho hoon Najaf ki ziarat sey behrawar
Manzoor phir wahaan sey Madinay ka hai safar
Pahunchoonga daulatein hain agar sar nawisht may
Rastay may maut aayi toh pahooncha behishth may
Farmaya aapne ke Madinay may kya hai kaam
Arz usney ki wohi toh hai dunya may ek muqaam
Us sar zameen pa hai meiraa aaqa mera Imam
Barsoun sey jinkey ishq mein rotha hoon subho shaam
Haider ke jaano dil hain, shahey mashraqain hai
Sadqey mai us jagah ke vahin tho Hussain hai
Mera hai ab yeh haal ke zakhmoun sey choor hoon
Jungle may maut aayi hai, basthi sey door hoon
Ek qaak saare bandha-e-Rabbey Ghafoor hoon
Aalam hai uski zaat ka mai bey qusoor hoon
Kehnay mai baat aati hai yeh kuch gilaa nahin
Din teesra hai aaj ke paani milaa nahin
Maula sey haath joddkay bolaa woh dil kabaab
Lay aaoon daud kar meray sharbey may kuch hai aab
Keejiey zabaanay khushk ko thar, behray Buturaab
Bolay hilaa ke sar ko shahey Aasmaan janaab
Ab intezaar Maut ka hai kya jiyoonga main
Sab pyaasey margaye hain na paani piyoonga main
Darkaar jo tujhey ho woh lay behray kirdegaar
Paidal agar hai tu tho yeh haazir hai raahwaar
Naaqa bhi lay tera tho hai Aaqa woh naamdaar
Sahil ko jis ney roti ke oontoun ki di qataar
Bekas hoon go kay aaj, pa Aali muqaam hoon
Sharmaana tu ke main bhi Ali ka ghulaam hoon
Arz usney ki huzoor sey ab hai yeh Iltejaa
Keejieh utthaa ke haath meray haq may yeh dua
Pahunchaadey mujhko qabr-e-Ali par mera Khuda
Maula ney aasman ki taraf dekh kar kaha
Jisko nahin zawaal woh daulath naseeb ho
Ya rab isay Ali ki ziarat naseeb ho