Mehshar ki subha aaj numaaya
Mehshar ki subha aaj numaaya hai shaam main
Kunbaah shafi-e-hashr ka hai izdihaam main
Sar nangay roohey Fatema hai ehtemaam main
Khaasaan-e-Zuljalaal hain balwa-e-aam main
Jibreel ki khuzaadiyaan tashreef laayi hain
M ushkil Kusha ki betiyaan bandee main aayi hain
Hai beech mai khuley huvey aaley abaa kay sar
Naizoun pa unkay girdh hain fouj-e-Khuda kay sar
Bachchoun kay sar buzurgoun kay sar aqrobaa kay sar
Rothay hain waarisoun kay saroun ko dikhaa kay sar
S ar rakh kay zaanuoun pa jo waaris ko rothay hain
Zaalim saroun mai naizoun ki nokain chubothay hain
Naizey pa hurmulaa kay chamaktha hai ek hilaal
Bikhrey huvey hain chaand sey moonh par jhandoley baal
Aulaad waaley kehthay hain aye rabb-e-Zuljalaal
Is beyzabaan kay khoon ka kisney liya wabaal
Gardish main haaye haaye yeh kiska sithaara hai
L eykar balaayein kehthi thi banu hamaara hai
Naagah huva yazeed ka darwaaza aashkaar
Haazir naqeebo haajibo darbaano chobbdaar
Teighein alam kiye huvey jallaadh-e-naabakaar
Mujraayi beyhisaab tamaashaayi beyshumaar
A iwaan main bhi raqs ka saamaan tamaam tha
Par intezaar-e-ithrath-e-khairul anaam tha
Bolay sab ekbaar woh aaye gunaahagaar
Aaye khusoorwaar woh aaye gunaahagaar
Jallaado hoshyaar woh aaye gunaahagaar
Woh aaye beydayaar woh aaye gunaahagaar
Jabsey kay aasmaan Khuda ney banaaye hain
A al-e-Rasool aaj hi bandhee main aaye hain
Rokaa umar ney baddkay Alam ko sipaah ko
Mujraah par aa jamaah kay kiya baargaah ko
Aur hanskay dekha aal-e-Risaalath panaah ko
Aawaaz di nabeera-e-shair-e-ilaah ko
H aan haan mihaar rokhnaa oontoun ka thaamnaa
A b hai yazeed kay dar-e-dowlath ka saamnaa
Pahoonchey muraad ko safar apna tamaam hai
Uthro aseero uthro adab ka muqaam hai
Aagay toh aasthaana-e-sultaan-e-shaam hai
Dekho toh kya jalaal hai kya ehteshaam hai
I ski vilaa main arsh ko humney hilaa diya
Ghar Panjetan ka khaak main bilkul milaa diya
Sun naa yeh tha kay sab kay jigar par churee chali
Oontoun sey uthri bibiyaan keh keh kay ya Ali
Aankhein phiraakay rehgayee baanu ki laadli
Roohey Hussain ko huvi jannath main beykali
Taaqath badhan ki ghat gayee aur zouf badd gaya
Uthrey jo bey sahaarey toh dum sab ka chadd gaya
Seenay mai dam abhi na samaaye thay hai ghazab
Jo aaye reesmaan liye haathoun mai beyadab
Ghabraakay poocha bevoun ney tajveez kya hai ab
Bolaa umar kay majlis-e-haakim main hai talab
M anzoor hai kay roohey Ali phir malool ho
M ajmay main rooh bakaariyeh aal-e-Rasool ho
Mazloomiyath sey rokay yeh mazloomoun ney kaha
Haakim ki yeh khushi hai toh phir uzr humko kya
Bazaar main toh phir chukay beymaqnaa-o-ridaa
Aasaan kareigaa mushkil-e-darbaar bhi Khuda
H aazir hain ley chalo hamein gumraaho ley chalo
S ar par nahin Hussain jahaan chaaho ley chalo