Jab Zaaeyraan shaahey ghareebul
Jab Zaaeyraan shaahey ghareebul watan phirey
Yaani Suey watan haram-e-Panjetan phirey
Ek dasth tohfaa leikay nashaan-e-rasann phirey
Ghul tha ke Ahlebaith Hussain-o-Hasan phirey
S atharr doh tanh ko zeray zameen sompey aaye hain
Kuch soorray khaak paak ke humraah laaye hain
Asbaab sab lutaa huvaa khaimaa jalaa huva
Aur zeen-e-Zuljanaa lahoo sey bhara huva
Muh par ghubaarey gunj-e-shaheedaan lagaa huva
Daamaaney maatami kafani ka phataa huva
Bachchey bhi koozay pani ke haathon may leithay hain
Peethay nahin hai fateha Asghar ka deithay hain
Naagaah guzaar qaafeilay ka shaher may huva
Aur lashkar-e-Basheer may naqqaara bhi bajaa
Aawaaz-e-theiz gaami-e-asphaan huvi bapaa
Humsaeeyoun ko Fatema soghra ney di sadaa
L ogo sawaari aathi hai kis baadeshah ki
S ab ney kaha ke Sibtey Risaalath panaah ki
Ithney may Umme Haaniyaa us dum falak viqaar
Sar par qasaaba paaoon mai mouzay bhi aashkaar
Ummul Baneen ke saath wahaan aayi ek baar
Soghra sey poocha ab toh na hogaa tumhey bukhaar
Ghul hai ke Zainab aati hai Shabbir aathey hain
Chalti ho tumbhi humtoh unhey lenay jaathe hain
Woh boli paishwaayi ko moujood hoon magar
Hai qasdh chhup rahoon kisi goshay mai baitt kar
Akbar talaash may phirein awaaz dein pidar
Asghar bhi ghuttniyou mujhey dhoonday idhar udhar
Jab sab kahein ke margayi chutt-thay hi aapsey
H ansthi huvi main aakay lipat jaaoon baap sey
Ek martaba saroun par padhey mard-o-zann ke haath
Jaana sabhoun ney qatl huvey shaahey nekh zaath
Soghra ney poocha daadi yeh kaisi hai waaredaath
Yeh fouj toh gayi thi na meray pidar ke saath
H ai hai musaaferoun pa meray kya guzar gayi
Poocho toh insey fouj-e-Hussaini kidhar gayi
Aakhar na reh sakhi suey lashkar yeh di nidaa
Tum karbala may taaza mulaazim huvey ho kyaa
Akbar ke paayeh naam hai tum logoun ka padhaa
Baaray kaho guroh-e-Hussaini kahaan gayaa
Bathlaao mominou main hoon pyaari Hussain ki
A b kithni door hogi sawaari Hussain ki
Naagaah aaya syedoun ka ghoal nangay sar
Daamaan sabz kurthoun ke thay sab chaak sar basar
Aagay alam liye huvey ek tifl bey pidar
Maatam ke neel chaand sey seenay pa jalwaagar
M ashkizaa-e-Sakina alam may bandhaa huva
E k teer usmay behray gawaahi lagaa huva
Zair-e-nashaan padthey thay nauha har ek qadam
Maatam Hussain pyaasey ka karthay thay dam ba dam
Gham sey larazney lagtha tha jab panja-e-alam
Baddtay thay aagay saheb-e-matam ba chashme namm
Faareigh jo matame shahey waala se hothay thay
Phir kehke haaye Hazrat-e-Abbas rothay thay
Ummul Baneen ney naam jo Abbas ka sunaa
Aankhon sey noor seenay say dil hogaya judaa
Soghra ko Umme Salma ki aaghoush may diya
Boli main baddkay poochoon toh yeh maajra hai kya
A ghlab hai insey sibte nabi ki khabar miley
Kiske yateem aathay hain paa nangay sar khuley