Salaam
Fida hoon us pay salaami hai jis ka naam Hussain
Mera muheen mera Aaqha mera Imaam Hussain.
Sabaa ko bhej kay Rouzay pay kar raha hoon-dua
Karain qubool Ilaahi mera salaam Hussain.
Jo Karbala ki zameen par huva tha unka wurood
Tho phir kay dekhtay thay qabr ka muqaam Hussain.
Suna na haaye kisi sangh dil ne laakh kaha
Rasool ka hoon nawaasa hai mera naam Hussain.
Na poochho waqt woh kaisa tha jab Madinay say
Chaley har ek ka lethay huvey salaam Hussain
Panah leytay thay dushman ajal kay daaman mein
Jo waar karthay thay lekar Ali ka naam Hussain
Meri kuch aur tamanna nahin hai aye Aasif
Yeh aarzu hai banalay mujhey ghulam Hussain
 Ghar ko chhoda Shah nay jungal basaney kay liye
Karbala mein aaye thay jannath may jaaney kay liye
Zohr ko Zainab se jab milnay gaye ghar mein Hussain
Koyi devdi par na tha parda utha nay kay liye
Sheh utthey pad kar namaaz-e-subha mehshar ho gaya
Hazrat-e-Zainab chaleen kapday pehnaaney kay liye
Kahti thi maa qhat meray Akbar ko tha paighaam-e-marg
Yeh jawaani aayi thi goya bulaaney kay liye
Thi sada Zehra ki Zainab margaya tera Hussain
Ghar may ja beti safay matam bichaaney kay liye
Aey taashuq waa-ey hasrat kuch nahin zaad-e-safar
Haath khaali baithe ho duniya se jaane ke liye
Qaafela Sheh ka salaami lab-e-darya uthraa
Par muqaddar mai na ek paani ka qathra uthraa
Karbala ka jo kisi shaher mai naqsha uthraa
Mujrayee boli zameen arsh-e-moalla uthraa.
Imtihaan ki jo taraazu mai qazaaney tholaa
Hur wafaadari-e-Shabbir mai poora uthraa
Sajda-e-haq sey Nabi ney na utthaaya sar ko
Pushth-e-aqdas sey na jab takh ke nawaasa uthraa
Fouj manzil pay utarthi toh Sakina kehthi
Saahibo dekho kidhar hai mera baba uthraa
Aaya jab takh na madiney mai sar-e-ibney ziyaad
Sogh naamoos-e-Nabi mai na kisi ka uthraa
Sogh Zainab ney bhi Hazrath ka uthaara yaaro
Par na jannath mai siyaa jaama-e-Zehra uthraa
Bano kehthi thi ke kisi roz pehnaaya afsous
Khoon mai bharkay meray bachchey ka kurta uthraa
Salaami suvey maqtal Syed-e-Abraar aathay hain
Hathailee par dharey sar khalq ke Sardaar aathay hain
Hamaarey khwaab mai jab Syed-e-Abraar aathay hain
Mubaarak baad denay taala-e-beydaar aathay hain
Jigar mai dard lab par aah aansoo dono aankhoun mai
Baday saamaan sey Hazrath ke maatamdaar aathay hain
Khayaal Shah-e-waala mai dil-e-muztar yeh kehtha hai
Utt aey dard-e-jigar taazeem ko Sarkaar aathay hain
Sawaari hai yeh Akbar ki kay qudrath ka namoona hai
Shabaahath keh rahi hai Ahmad-e-Mukhtaar aathay hain
Baday faiyaaz hain yeh ronay waaley bhi ke majlis mai
Jab aathay hain lutaaney gowhar-e-shehwaar aathay hain
Abhi khaimey se nikley bhi na thay ghul machgayaa run mai
Alambardaar aathay hain Alambardaar aathay hain
Andheri Raat mai Banu yehi keh-keh ke rothi thi
Kay Akbar yaad teray chaand sey rukhsaar aathay hain
Salaami layeenoun ney kya kya jafaa ki
Na Shah ki huvi aal Mushkil kusha ki
Yeh maana hai tasleemo sabr-o-reza kay
Kay qaatil kay haq mein bhi sheh ney dua ki
Yeh kehti thi binte Ali waqt-e-ghaarath
Kuch aye Shimr qeemath nahin is rida ki
Meray sar pa lillah rehnay dey isko
Kay yeh kehna chaadar hai khairunnisa ki
Tamashaayi kehthay thay koofey mein hanskar
Yeh sar nangay zainab hai qudrath khuda ki
Utta raath ko jiski maa ka janaaza
Woh ab din ko mohtaaj hai ek rida ki
Na baandho meray haath kehti thi Zainab
Layeenou mai beti hoon Mushkil kusha ki
Na chhuti damay marg takh Fatima sey
Ita-ath Ali ki Ibaadath Khuda ki
Rahay haath chakki sey majrooh dono
Yeh haalath thi maqdooma-e-Aasiya ki.
Salaami jisney dar-e-baagh-e-Panjethan dekhaa
Useenay rouza-e-Rizwaan ka chaman dekhaa.
Salaami run kay jo bandhdey ney pairahan dekhaa
Qhaba ki taih may lapeta huva kafan dekhaa
Kaha adu nay basaarath kidhar gayi hai Imaam
Mili na laash pisar ki tamaam run dekhaa
Jawaan betay ki maiyath na tum ne pehchaani
Yeh kis ka naizey pa sar hai yeh kis ka tanh dekhaa.
Kaha yazeed ne poshaak isko pehnaado
Phata huva jo Sakina ka pairahan dekhaa.
Kaha ke khaaq may mil jaoongi na pehnoongi
Pidar ke murday ko jungal may bay kafan dekhaa
Salaami jaangaza hai ranj-o-gham khasaan-e-daavar ka
Khalaq Sibtain ka Zehra ka Hyder ka Payambar ka
Sadaa shohra raheiga judh-o-khulqo zor-e-Hyder ka
Qataar-o-shair-o-angushtar ka darkaaroh kay par ka
Ali ki teigh kay dam sey huva har maareykaa faisal
Ohad ka Badr ka Sifeen ka Khandaq ka Khaiber ka
Ghulaam-e-Panjetan ko darr nahin in paanch cheezoun ka
Ajal ka, jaankani ka, qabr ka, barzakh ka, mehshar ka
Hamaarey waasthay Sheh ney gawaara karliya mittnaa
Harum ka, aabroo ka, jaan ka, aulaad ka, ghar ka
Sakina leigayi yeh paanch daagh is baagh aalam sey
Tamaachoun ka, rasan ka, baap ka, saqqay ka, gowhar ka
Ghazab hai ithney sadhmey ek jaan khaahar-e-sheh par
Ridaa ka, qaid ka, bachchoun ka, Akbar ka, baraadar ka
Tahey khanjar Imam-e-paak ko kis kis ka dhyaan aaya
Bahen ka, beti ka, beemaar ka, ummath kay mehzar ka
Ali ki madhaa kartha hoon yehi ek kaam baaqi hai
Isi ki wajha sey duniya mai mera naam baaqi hai
Zameen jab takh hai jab takh charq neeli faam baaqi hai
Fazaa mai Fatema ki jaan ka paighaam baaqi hai
Ali ke saath haq hai aur Ali bhi saath hai haq ke
Khuda ka naam hai jab takh Ali ka naam baaqi hai
Hazaaroun ke galay kaatay Ali ki teigh ney leykin
Abhi bachchey ki turbath khoudhnay ka kaam baaqi hai
Mohammad-e-Mustafa ki aal aur darbaar mai jaaye
Yazeed ab takh teri gardhan pa yeh ilzaam baaqi hai
Supurdh-e-khaak karna hai abhi zindaan mai bachchi ko
Ilaahi ghamzadaa Zainab ka yeh bhi kaam baaqi hai
Ali-e-Murtuza aaye na teri zindagi main gar
Sayeed ithnaa na ghabraa nazaa ka hungaam baaqi hai
Zikr ghame Hussain se mehfil saji rahi
Gul hogaya chiraag magar roshni rahi
Qaime Furaath se toh hatae gaye magar
Abbase naamdar ki tyewari chadi rahi
Akbar ke baad zeest mein kya dilkashi rahi
Laila tamam umr yehi sonchti rahi
Abbas lene aaye joh maidan ki raza
Zainab bus apne baazuon ko dekhti rahi
Ashke ghame Hussain ka tootah na silsila
Roomale Fatema mein hamesha nami rahi
Balwe mein bey rida sare Zainab ko dekh kar
Allah jaane kaise qayamat ruki rahi
Adam se ae Sayeed risaalat ma-aab tak
Har daur mein zaroorate nadey Ali rahi
Mujraee Shah ka hoon khuld mein hai ghar mera
Muntazar hoorein hain mushtaaq hai Kausar mera
Shah kehthay thay layeenou na sathaao mujhko
Maa hai Zehra meri Naana hai Payambar mera
Banu kehthi thi kay jungle main darreygaa logou
Kabhi tanhaa nahin soya Ali Asghar mera
Jo koyi poochtha kya sin tha tho kehthi Banu
Chey mahiney sey bhi kam tha Ali Asghar mera
Kehthi thi rooh-e-Mohammad yeh tamashaaiyoun sey
Bandh aankhein karo kunbaa hai khuley sar mera
Shah kehthay thay na soojhi mujhey Abbas ki laash
Leigaye haath pakadd kay Ali Akbar mera
Shimr kehtha tha main jab kartha tha Shabbir ko qatl
Kaisi mazloomi sey muh takthey thay Sarwar mera
Girya-e-Ahmad-o-Zehra ki sadaa aathi thi
Pakadd leytha tha koyi haath sey khanjar mera
Mujraee paidaa huva tha sam Hassan kay waastey
Aur banaa khanjar Shahey tashnaa dahan kay waastey
Aye falak Zainab ko tuney kyun phiraaya dar-ba-dar
Maatam-e-Shabbir kya kum tha bahen kay waastey
Jis ghadi bandhney laga kangnaa toh haatif ney kahaa
Dast-e-Kubra mein jagaah rakhna rasan kay waastey
Aye falak insaaf sey tajweez teri door hai
Gardhan-e-Sajjad ho touq-o-rasan kay waastey
Ho kay zakhmi jab giraa ghoday sey Ibn-e-Buturaab
Khaak marham hogayi zakhm-e-badan kay waastey
Bey kafan tha laasha-e-Naushaa run mein jaa-ba-jaa
Munh chupaaney ko na chaadar thi dulhan kay wastey
Shimr sey kehti thi Zainab tu naa ley chaadar meri
Yeh ridaa rehney dey bhaayi kay kafan kay waastey
Misaale badr joh haasil huva kamaal mujhe
Ghata ghata ke falak ne kiya hilaal mujhe
Teri madad ka faqath Ya Ali bharosa hai
Kisi ki aas nahin waqte inteqaal mujhe
Kareem joh tujhe dena ho betalab dedey
Faqeer hoon pa nahin haajate sawaal mujhe
Kisi ke saamne kyon jaake haath phailaaoon
Mera kareem jo deytah hai bay sawaal mujhe
Hussain kehtey thay pushtay faras se girtah hoon
Madad ka waqt hai ae bekasi sambhaal mujhe
Hussain kehtey thay parwardigaar rahiyo gawaah
Ke qatl kartey hain naahaq yeh badh qisaal mujhe
Andheri qabr mein mushkil Anees ko hai bohath
Dikhaadoh Ya Ali ab chaand sa jamaal muhjhe
Pahunche yeh nazm yoon shahe zeeshaan ke saamne
Jis tarha paaye more Sulemaan ke saamne
Har dum Sakina laathi thi taskeen ke waastey
Khaali katoray Asghare naadaan ke saamne
Rokar behen se kehtey thay hazrat yeh rozey qatl
Hum zibha hongay asr ko amma ke saamne
Zibhe hilaal mein toh yeh hukme-rasool ho
Haiwaan ka khoon bahao na haiwaan ke saamne
Wa hasratha ke Fatema sar peet thi rahi
Pyaase Hussain zibha huve maa ke saamne
Rakhley uthakey sar pah adab sey yeh chahiyeh
Mousuf jab aaye saahebe imaan ke saamne
Neechey sarey Hussain ho aur taqth par Yazeed
Phailaaye paoun baitha ho Quraan ke saamne
Khooli se Shimr kehta tha ley jah sar-e-Hussain
Rakh kar sinaa pah Zainabe zeeshaan ke saamne
Naam par Shah kay paani jo pilaa deithay hain
Meray Kausar inhey mujraahi dua dethay hain
Qatl Akbar sa pisar hotha hai sheh karthay hain shukr
Sabr Ayyub ko Shabbir jila dethay hain
Fatima kehthi thi duniya mein yeh abaad rahein
Sheh ka pursa mujhey sab ahle-aza dethay hain
Chashm Sajjad agar zouf sey ho jaathi hai bandh
Ashqiyaan paaoun ki zanjeer hilaa dethay hai
Kehthi thi rokay Sakina kay hamein qaid kiya
Loug zindaan sey yateemoun ko chudaa dethay hain
Poochtha hai jo koyi kisney kamar ko thodaa
Shah Abbas kay laashey ko dikhaa dethay hain
Yeh salaam Shahey Mazloom kaha khoob Dabeer
Dekhoon inaam may Moula mujhey kya deithay hain
Mujhey matloob hoga jaam laina jab bhi kausar ka
Salaam aisa padhoonga dil bhar aayegaa payambar ka
Zameen-e-Karbala ka poochnaa teray muqaddar ka
Hai tujh mein aaj takh mehfooz sarmaaya payambar ka
Kamar qam kyon na ho dil gham se tootey kyon na Sarwar ka
Alambardaar aakhir bhaayi tha baazoo baraabar ka
Labay darya Alambardaar bhi kaam aagaya aakhir
Basab Allah haafez Hazrat-e-Zainab ki chaadar ka
Teri ghairath ko aakhir kya huva kuch tu nay soncha bhi
Bhari mehfil mai kaisa tazkera Zainab ki chaadar ka
Ghadi bhar bhi rabab aaraam sey sonay nahin paathee
Woh Jab karwat badalthi hai khayaal aata hai Asghar ka
Sayeed zaar par jab bhi koyi uftaab padthi hai
Bas ek aadath si hai woh naam letha hai Hyder ka
Juz Panjetan kisi sey Tawalla na chahiyeh
Ghairazz Khuda kisi ka bharosa na chahiyeh
Ek dar pa bhaitt gar hai Tawakkal Kareem par
Allah kay faqeer ko phera na chahiyeh
Soghra ney Shah-e-deen ko likha qath tho bhejiyeh
Gar chahathey nahin hamein accha na chahiyeh
Doh betiyaan tho paas ho ek jaan balab bayeed
Main sach kahoon yeh aap ko baba na chahiyeh
Kehthi thi Fizza shaam mein bazaariyo hato
Aal-e-Rasool par sitam aisa na chahiyeh
Yeh koun bibiyaan hain tumhey kuch khabar nahin
Zehra ki betiyoun ka tamaasha na chahiyeh
Kehtha tha shimr chaadarein bevoun ki cheen lo
Aisey Gunahagaaroun ko parda na chahiyeh
Marqadh charaag-e-daag sey roushan rahey Anees
Shab ko ghar mein akelay andhera na chahiyeh
Ali sa bhi na koyi aadil-e zamaana huva
Ke ek baaz-o kabutar ka aashiyana huva
Makeen rahe na makaan turfa karkhana huva
Zameen ulat gayi kya munqalib zamana huva
Andheri qabr thi aur mein tha ya Ali-e wali
Huzoor aaye toh roshan siyah qana huva
Raha na koi bahattar mein zohr tak baaqi
Hussain rehgaye aur qaafela rawana huva
Firaqe sheh ka na sadma utha Sakina se
Qalaq se jaan gayi mauth ka bahana huva
Bhatak ke raah se peeche kahin na reh jaoon
Utho Anees utho qaafela rawaana huva
Shabihey Imam-e-Zamaan kheinchtey hain
Tasawwur mein tasveer-e-jaan kheinchtey hain
Jagaah mol-lee hai mazaaroun ki khaatir
Zameen par Shahey deen nishaan kheinchtey hain
Ajab haal hai dukhtar-e-Fatima ka
Ridaa sar sey ezzaa rasaan kheinchtey hain
Kahaan paaye Abid kahaan dohree beydi
Yeh langar kaheen naathawaan kheinchtey hain
Kahaa rokay Akbar ney aye dard tham jaa
Kaleijay sey Baba sinaan kheinchtey hain
Pukaari Sakina duhaayi hai Baba
Sitamgar meri baaliyaan kheinchtey hain
Karbala sey jo kabhi ho kay hawaa aati hai
Kisi Maasoom ki hichkee ki sadaa aati hai
Haan dhadakta na ho marqad mein kahin qalb-e-Rabab
Ali Asghar, Ali Asghar ki sadaa aati hai
Maa samajtee hai dulhan laaoongi aaya hai shabaab
Sheh samajtey hain kay Akbar ki qazaa aati hai
Koyi beemaar na paddtaa ho tahajjud ki namaaz
Raat mein beydiyon ki kyun yeh sadaa aati hai
Qaid khaaney mein qayamat sey siwaa aathaa hai din
Raat kya aati hai ek aur balaa aati hai
Munh phira leytay hain Abbas tapak padtey hain ashk
Nehr ki simth sey thandee jo hawaa aati hai
Kaun sothaa hai kanaarey teray aye Nehr-e-Furaat
Teri mitthi sey abhi boo-eyWafaa aati hai
Jab ziyaada kabhi beemaar main hotha hoon Shaheed
Khud ba khud meray liye Khaak-e-Shifaa aati hai
Pardes mein Zainab kho baithi
athara baras ke paale ko
Rotey hai khade sab aale nabi
athara baras ke paale ko
Armaan na nikla Bano ka
hae laash pah nauha Bano ka
Payegi kahan yeh kookh jali
athara baras ke paale ko
Dil thaam ke Akbar ki maadar
kehti hae yeh Sarwar se rokar
Kho aaye kahan aye ibne Ali
athara baras ke paale ko
Naazon se muraadon se paala
shaadi ka zamana jab aaya
Maidaan mein khokar baith gayi
athara baras ke paale ko
Shabbir se kehti hae Zainab
mujh ko toh bada hae iska taa-ab
Kyon maine liya tha tumse aqi
athara baras ke paale ko
Qismat ka karoon main kis se gila
khidmath ka ewaz kuch bhi na mila
Sehra bhi na Zainab baandh saki
athara baras ke paale ko
Kehte thay yeh shahe Karbobala
taqdeer mein yoonhi likha tha
Ab sabr karo aye binte Ali
athara baras ke paale ko
Showkat pah qayamat ka gham hae
Showkat yeh ghazab ka maatam hae
Baaleen pah khade rotey hain nabi
athara baras ke paale ko
Jawan bete ke laashe par ye Laila sonchti hogi
Mujhe is din se pehle he na kyon mauth aagayi hogi
Kaha karti thi Laila kaise baithoongi main saaye mein
Mere Akbar ki mayyat jalti rethi par padi hogi
Khuda jaane dile Sarwar ka aalam kya huva hoga
Ali Akbar ne jisdum aaqri angdaai li hogi
Ali Akbar ka laasha aap lejate toh hain laikin
Dare qaime pah moula ghamzada Laila khadi hogi
Kaha karti thi aksar sonchkar yeh Fatema Sughra
Mere bhaiyya Ali Akbar ki shaadi ho gayi hogi
Nikaali hogi sheh ne jab sina Akbar ke seene se
Ali ne badhkar peshaani pisar ki choomli hogi
Sukoone qalb Laila raahate jaan thay yeh Zainab ke
Sayeed Akbar ko marne ki riza kaise mili hogi