Asr ko sheh ki sada aayi kise
Asr ko sheh ki sada aayi kise aawaaz doon
Ek main hoon meri tanhayi kise aawaaz doon
Doobta hae dil mera khursheed ke kirnoun ke saath
Yeh udaasi us pa tanhayi kise aawaaz doon
Aye Ali Akbar tumhari aakhri hichki ke saath
Kho gayi hae meri beenaayi kise aawaz doon
Jung se meri zameen-o-aasman larzay mai hain
Kaun dekhe jung ae bhai kise aawaz doon
Jab ridah cheeni gayi Zainab ne rokar di sada
Margaya Abbas sa bhayi kise aawaaz doon
Shaam hothay hi Zainab se Sakina ne kaha
Loot ne fouje sitam aayi kise aawaaz doon
Shaam ka darbar hae Abbas-o-Akbar bhi nahin
Har taraf hain sab tamashayi kise aawaaz doon
Tashna lab Abbas jab saahil se waapis hogaye
Alqama ro ro ke chillayi kise aawaaz doon
Juz Hussain ibne Ali kisko pukarega Nawaaz
Kaun karta hae maseehaayi kise aawaaz doon