Qasim jo hum Shabihey janab-
Qasim jo hum Shabihey janab-e-Ameer tha
Is wajha sey woh gheerath-e-mehray muneer tha
Aur aashiq-e-jamaal-e-Shahey bey nazeer tha
Parwaana-e-charaag Rasool-e-qadeer tah
Akbar sey kehtha tha kay chacha toh Imam hain
Aye bhaayi jaan hum toh tumhaarey ghulaam hain
Yeh kehthay thay ke tum meray daada ki shaan ho
Dil ho jigar ho aankh ho bhaayi ki jaan ho
Aye bhaayi jaan kya teri khoobi bayaan ho
Hazrat Hasan ki tarhaa sey tum shireen zabaan ho
Phir pyar se woh haathon ko gardhan mai daalkay
Kehthay thay qatl hongay hum atthaara saal kay
Fouj-e-jafaa sey ithney mai teer-e-jafaa chalay
Aur yaan sey peishwaayi ko ahley wafaa chalay
Aaye Khuda ki samth sey suvey Khuda chalay
Kehthay thay Shah zor-e-muqaddar sey kya chalay
Qasim rahey aur Akbar-o-Abbas rehgaye
Satharr doh tanh main teen jawaan paas rehgaye
Is gham sey jo Hussain ki haalath huvi tabaah
Tabh haath pakday khaimey mai Qasim ko laaye Shah
Zainab sey phir yeh bolay Imam-e-Falak panaah
Dar peish humko aaj hai doh beykasoun ka biyaah
Taqreeb soghvaaroun main dulha dulhan ki hai
Zainab uttho uttho yeh waseeyath Hasan ki hai
Ibne Hasan ko laakay libaas-e-Hasan pinhaao
Qasim ki maa ko maadar-e-Kubra ko jald laao
Woh boli jaan bhujjkay bhaiyya na yeh sunaao
Is kaam kay liye toh kisi aur ko bulaao
Maatam kay ghar sey koyi bhi jaata hai biyaah main
Betoun moyee ko koyi bulaatha hai biyaah main
Jin haathoun sey kay betoun ki laashein utthaaoun main
Un haathoun sey bhateejay ko dulhaa banaaoun main
Farsh-e-aza jahaan pa ho safay maatam bichaaoun main
Kubra ko waan libaas-e-uroosi pehnaaoun main
Kyonkar bhalaa yeh ussay ho jo khairkhaa ho
Meri toh yeh dua hai mubaarak yeh biyaah ho
Yaadash bakhair Fatema Soghra nahin yahaan
Rukhsath kay waqt kehthi thi mujsey woh naathawaan
Qasim ka biyaah huvey safar main jo naagahaan
Tum mujhko yaad karkay bulaalijiyoh wahaan
Afsous ki jagaah hai koyi naamabar nahin
Qasim ka biyaah hotha hai isko khabar nahin
Sheh ney kahaa bahen na tharad-dudh karo zaraa
Maatam ka apney betoun kay haan uzar hai bajaa
Yeh aqdh bhi hai fidyaa sibtey Rasool ka
Shaadi kujaa aur aal-e-Rasool-e-Khuda kujaa
Jaayega namuraad yeh dulhaa jahaan sey
Taa hashr shaadi utt gayi is khaandaan sey
Kehthi thi yoon phupi sey Sakina kay kya hai gham
Lo bhaayi dulhaa banthay hain ab nekh leingay hum
Saamaan-e-aqdh jamaa pareishaan magar harum
Qasim ki maa pukaari fidaa aye Shahey umam
Laoundi hoon aaj sey main shahey khushqisaal ki
Shaadi Hussain karthay hain beva kay laal ki