Jab qatl kiya neher pa Saqqa
Jab qatl kiya neher pa Saqqa-e-Haram ko
Bhaayi ka diya daagh Shaheensha-e-Umam ko
Paani na diya pyaas mein is behray karam ko
Tha shore ke ab khauff kisi ka nahin hum ko
Ghazi ko jigar bandh-e-Yadullah ko maara
Abbas ko kya qatl kiya Shah ko maara
Aada toh yeh kehthey thay Shahey deen ka yeh tha haal
Tarr aansuoun sey hotha tha rumaal pa rumaal
Farmaathey thay kya hogaye Abbas e khush iqbaal
Duniya may nahin jeenay ka ab Fatema ka laal
Bin bhaayi basar hogi na ek aan hamari
Abbas ke maatam may gayi jaan hamari
Beykas huvey ab koyi nahin humdum-o-yaawar
Paayengay kahan aisa Wafadaar baraadar
Barr aaye kahin arzoo-e-Sibtey payambar
Jaldi meri gardhan pa chaley zulm ka khanjar
Dushman pey bhi yeh aalam tanhaayi na hovey
Jeenay ka mazaa qaakh hai jab bhaayi na hovey
Yeh kehkay tadapney lagey sultaan-e-doh aalam
Barpaa tha ajab khaima-e-Shabbir may maatam
Chillathi thi Zainab ke jigar phat-tha hai isdam
Bhaayi ke alam may na jeeyengay Shahey-Akram
Andher jahan hai jo Alamdaar nahin hai
Koyi meray bhaayi ka madadgaar nahin hai
Samjha ke ussey run ko chaley jab Shahey Abraar
Daudi akhab-e-Shah Sakina jigar Afgaar
Chillayi ke Baba mujhey yahan chodo na zinhaar
Dikhlaadoh mujhey laasha-e-Abbas-e-Alamdaar
Paani na mila margaye woh khoon may nahaakar
Mai roungi ab laasha-e-Abbas pe jaakar
Dekha jo oosey Shah ney baa deedaye giriyaan
Kehnay lagey beti se basadh naala-o-afghaan
Maarey na koyi teer tumhey dushman-e-Imaan
Chalna tera laashey pey munaasib nahin is aan
Woh kehthi thi mai jee sey guzar jaoongi Baba
Wahn leykay na chaliyeh ga toh mar jaoongi Baba
Aakhir oosey dariya ki taraf lekay chaley Shaah
Yoon kehnay lagey fouj sey baddkar kayee gumraah
Kya qazd hai jaatey ho kidhar aye shahey zeejaah
Dariya pe woh maarey gaye thi jinki tumhey chaah
Paani ke liye laakh jawaanou sey ladey hain
Aur haath kataaye huvey hai reythi pa padey hain
Naagaah nazar aaya unhey laasha-e-Abbas
Chillake kaha haaye hum ab hogaye bey aas
Pahoonchengay na turn takh yehi tha bhaayi ko Vaswaas
Ab kaun bujhaayega Sakina ki bhala pyaas
Haathoun ke tassaduq taneh sadh paash ke sadqey
Aye jaane biraadar mai teri laash ke sadqey.
Aankhon ko zara kholo toh qurbaan ho bhaayi
Qaimey sey Sakina tumhey lenay ko hai aayi
Kyon raith may yeh chaand si surath hai chupaayi
Sar peet ke tabh kehnay lagi Shah ki jaayee
Hai hai mujhey surath nahin dikhlaatey hain Ammu
Mai pyaasi rahi is liye sharmaathey hain Ammu
Tadpee jo yeh keh keh ke Sakina jigar afgaar
Tharraney lagaa laasha-e-Abbase Aiamdaar
Lashey sey lipat kar yeh pukarey yeh shahey Abraar
Sadqey teri ulfath ke Hussain aye mere ghamqaar
Ronay na diya tha kabhi is tashnaa dahan ko
Tharrathay ho ab sunkey Sakina ki fughaan ko
Khatoon-e-qayaamath ki sadaa ithney may aayi
Maaraa gaya hai hai meray shabbir ka bhaayi
Farzandh sey farmaaya yeh dey dey ke duhaayi
Pursaa tumhey deythi hai yeh gardhoon ki sathaayi
S habbir bhi basadh dardo bukaa peet rahey thay
Laashey ke qareen sher-e-khuda peet rahey thay