Ae mominon judai hae dulha dulhan
Ae mominon judai hae dulha dulhan mein aaj
Qillat kafan hae paikare Ibne Hassan mein aaj
Hai shore alvida har ek mardo zan mein aaj
Hai beqaraar rooh Hassan ki kafan mein aaj
Shaadi ki jah yeh naubate faryaado aah hai
Dulha ki taqtgah bas ab qatl gah hai
Rotey thay dhadein maar ke naamoose shahe deen
Aaya dulhan se milne ko Shabbar ka nazneen
Rothi thi sar ko zano pah rakhe woh mahjabeen
Sadme se hilgaya jigar-e-Qasim-e hazeen
Dil thaam kar so-ey rukhey Kubra nigaah ki
Yeh dard utha ke baith kar masnadh pah aah ki
Rakh kar dulhan ke maathe par haath apna yoon kaha
Sar ko uthao rothi ho kyon tum pah mein fida
Sahab tumhare baap ne toh hum ko di raza
Doh tum bhi izne jung ke narghe mein hae chacha
Aate hain teere zulm shahe khushqisaal par
Wallah jaaye rahem hai ammu ke haal par
Ibne Hassan ne baaton mein khola bahut magar
Qufle dahan haya thi na boli woh nauhagar
Dulha ne jabke rakhdiya jhuk kar qadam par sar
Pehloo mein dil tadap gaya phatne laga jigar
Ghoonghat mein aftab sa moonh zard hogaya
Kaanpi yeh sharm se ke badan sard ho gaya
Aakhir baha ke ashk yeh boli woh rashke mah
Lutt-teh hain bachpaney mein kahen kya zuban se aah
Choda jab aap ne toh hamara kahan nibah
Qismat mein tha ke qaide sitam mein phire tabah
Basti luta ke qabr ko aabad kijiye
Joh aapki khushi hamein barbaad kijiye
Sahab tumhee qafa nahin laundi se is qadar
Bezaar mauth bhi hae ke ab tak na li qabar
Kya bus hamara qair sidharo karo safar
Niklenge hum bhi ghar se koi dum mein nangay sar
Chaale hamare sab se juda hae zamane mein
Tum hongay qatlgaah mein hum qaid qane mein
Baba qareebe marg chacha aazim-e-safar
Bhai gala katane pah baandhe huve kamar
Jaldi tumhein ke pehle hameen hoyein khoon mein tar
Dhoondhoon bathao kiska sahara mein nauhagar
Doh kuch jawab paon pah kyon sar jhukate ho
Ek raat ki dulhan ko kise soumpey jaate ho
Roka hae kisne roteh ho kaahe ko isqadar
Maalik Khuda hae bay--woun ki lega wohi qabar
Ho jaayegi hamari bhi har haal mein basar
Samjhenge umr bhar isi jungle ko apna ghar
Bhai ki aas hai hamein ab toh na baap ki
Kaatenge dukh randapay ka turbat pah aapki
Saheb hamein kalaam ki taaqath nahin hae ab
Yeh toh kaho ke tumse mulaaqaath hogi kab
Dulha ne bharke ankhon mein aansu kaha yeh tab
Kowsar pah roze hashr miloonga mein tashna lab
Dadi ke saath jab suey Firdaus jaoongi
Jis jah Hussain hongay waheen humko paoongi
Rokar pukaari maa ke mai qurbaan jaaoon aao
Nargha hai shaamiyon ka chacha ki madad ko aao
Beta bus ab dulhan ki mohabbat se haath uthao
Lena hae baaghe quld toh phal barchiyon ke khao
Sadqe gayi azeez na apna lahu karo
Jaldi gala katakey mujhe surq rooh karo
Tapka ke ashk ankhon se bola woh naujawaan
Lo ammajaan Qaliqe Akbar nigaahbaan
Jab run se aaye laasha-e-majrooh khoonchkaan
Is tehelke mein rakhiyega apni bahu ka dhyaan
Roye toh aansu ponchke samjhaiyo inhein
Amma hamari laash na dikhlaiyo inhein