Baanu kay sheerkhwaar ko haftum
Baanu kay sheerkhwaar ko haftum sey pyaas hai
Bachchey ki nabz dekh kay maa bey hawaas hai
Ney doodh hai na paani kay milney ki aas hai
Phirti hai aas paas yeh jeenay sey yaas hai
Kehti thi kya karoon main duhaayi Hussain ki
Putlee phiree hai aaj meray noor-e-ain ki
Faryaad Ya Ali main kidhar jaaoon Ya Ali
In daaghon ko kahaan sey jigar laaoun Ya Ali
Kis tarha in ki saans ko tehraoun Ya Ali
Paani ka qaheth hai main kahaan paaoun Ya Ali
Pichlee ko aankh kholey thay ab kholtey nahin
Rothay nahin humaktey nahin boltey nahin
Aakhir kaha yeh sab ney bulaao Imam ko
Laao khuda kay waastey laao Imam ko
Is bey zubaan ka haal sunaao Imam ko
Neeli ragein galey ki dikhaao Imam ko
Akbar ki laash leygaye hain qatl gaah mein
Koyi pukaar lo woh abhi hongey raah mein
Munh per jawaan betay ka taaza lahoo lagaye
Maatam sara mein Ganj-e-Shaheedaan sey Shah aaye
Jhooley pa haath pakddey huvey Ahlebait laaye
Bachchey kay haath paaoun hilaa kar inhey dikhaaye
Rokar kahaa kay saans faqath aashkaar hai
Ho iska kya hisaab kay dum ka shumaar hai
Baithey sarhaaney jhooley kay Shabbir sar jhukaaye
Asghar kay kaan sey lab-e-moujiznuma milaaye
Chupkay sey kuch kaha kay woh suntey hi muskuraye
Suwey Hussain haath bhi beysaakhtaa baddhaaye
Boli Sakina baba ney mushkil kushaayi ki
Amma mubarak aankh khuli meray bhaayi ki
Haathon pey isko lekay chaley Shaahey Karbala
Aur saath saath goadh mein kholey huvey qazaa
Likhaa hai dhoop teiz thi aur garm thi hawaa
Asghar pey maa ney daaldi ujli si ek ridaa
Chaadar na thi woh chehra-e-pur aab-o -taab par
Tukddaa safaid abr ka tha aaftaab par
Pahunchey qareeb-e-fouj toh tyoraa kay rehgaye
Chaaha karein sawaal pey sharmaa kay rehgaye
Ghairath sey rang udd gaya tharraa kay rehgaye
Chaadar pisar kay chehrey sey sarkaa kay rehgaye
Ankhein jhuka kay boley yeh hum inko laaye hain
Asghar tumhaarey paas gharz leykay aaye hain
Phir hontt beyzubaan kay choomey jhukaa kay sar
Rokar kaha jo kehna tha so keh chukaa pidar
Baaqi rahi na baat koyi aye meray pisar
Sookhi zabaan tum bhi dikhaado nikaal kar
Pheri zabaan labon pa jo us noor-e-ain ney
Tharra kay aasmaan ko dekha Hussain ney
Maula falak ko dekh rahey thay kay naagahaan
Li Hurmula ney shaaney sey do taank ki kamaan
Tarkash sey jab kay kheinch liya teer-e-jaan fishaan
Chodaa kamaan sey taak kay hulqoom-e-bey zabaan
Chutt-tay hi halq bachchey ka cheydaa jo teer ney
Tharraa kay aasmaan ko dekha sagheer ney
Kya sin tha teer khaatey hi bachcha dahel gaya
Sukhey galey sey khoon ka dariya ubal gaya
Taddpa jo Sheh kay haath pey toh mankaa dhal gaya
Topi giree zameen pey aur dum nikal gaya
Nanhi kalaaiyon mein tashnujh sey bal padey
Hichkee jo aayi munh sey anghotey nikal padey
Munh aasmaan sey Sheh ney phiraaya kay kya huva
Dekha kay paar halq sey teer-e-jafaa huva
Bachcha tadap raha hai lahoo mein bharaa huva
Aur nanha haath zakhm-e-guloo par dharaa huva
Aankhein phiraye detay hain tewar badaltey hain
Aagey toh doodh uglay thay ab khoon ugaltay hain
Kheinchaa galey sey bachchey kay aahista Sheh ney teer
Aur haathon pey bulandh kiya laasha-e-sagheer
Gardhan jhukaa kay boley kay aye Khaliqh-e-qadeer
Maqbool ho Hussain ka yeh fidya-e-akheer
Shashmaha koyi kushta-e-teeray sitam nahin
Yeh bey zabaan Naaqa-e-Saleh sey kam nahin