Umme Kulsoom khwaaharey
Umme Kulsoom khwaaharey Zainab
Zindagi bhar sahi tu ranj-o-taa-ab
Guzrey roney mein teray roz-o-shab
Mar gayi gham utthaakay haaye ghazab
A b Ali-o-Batool rotay hain
Peet kar sar Rasool rotay hain
Bhaayi ko roz-o-shab jo rothi thi
Munh ko ashkoun sey apney dhoti thi
Gham sey fursath jisey na hothi thi
Jaan ro ro kay apni khothi thi
Woh jahaan sey guzargayi hai hai
Umme Kulsoom margayi hai hai
Yaad aatey hain teray gham bibi
Woh aseeri woh qaid ki sakhti
Tujh pey yun rash gham-o-alam ki thi
Uff woh rudaad bey ridaayi ki
Tujhko jab sey gham-e-Hussain milaa
E k pal bhi tujhey na chain milaa
Qaid sey chutt kay jab watan aayi
Saath bhaayi ka apney gham laayi
Zabt karney na paayi dukh paayi
Dekha jis dum Madina chillaayi
Gham pey gham hum utthaakay aaye hain
S aarey ghar ko lutaakay aaye hain
Aey Madiney humein qubool na kar
Katt gaya teigh sey Hussain ka sar
Chinn gayi thi saroun sey bhi chaadar
Wapas aaye hain phir kay hum dar dar
M artey dum tak yeh gham utthaana hai
A isa aana bhi koyi aana hai
Hum museebath utthaakay aaye hain
Qaid khaaney mein jaakay aaye hain
Bhaayi betay gunwaah kay aaye hain
Qabr Sheh ki banaakay aaye hain
S aath betay hain aur na waali hai
Godiyaan bibiyoun ki khaali hai
Bain tu ney kiye jo zaar-o-qataar
Gham sey dil hogaye sabhi kay figaar
Daagh thay teray ek dil pey hazaar
Kithni pur dard thi woh teri pukaar
Khoon rulaata tha marsia tera
Gham sey dil choor choor tha tera
Haaye kaisi ulatt gayi taqdeer
Gayi darbaar mein tu hokay aseer
Aakhri saans takh rahi dilgeer
Umme Kulsoom khwaaharey Shabbir
Karbala yaad jab bhi aati hai
Yaad teri humein rulaati hai