Kis beemar ne qath apne maseeha
Kis beemar ne qath apne maseeha ko likha
Haal beemariyon ka beti ne baba ko likha
Jo jo armaan tha dil mein shahe wala ko likha
Aur salam apna phoopi sani-e Zehra ko likha
Dil mein qush thi ke mera qath jo pahunch jayega
Hae yaqeen ab koi lene ke liye ayega
Qath mein alqaab yeh bekas ne kiya tha marqoom
Chahne waale pidar mere imam-e mazloom
Raat din rothi padi rahti hoon ab toh maghmoom
Aap toh bhool gaye qair yeh mera maqsoom
Na gila tumse hae na koi shikayath baba
Haan mubarak ho Sakina se mohabath baba
Qair tum ko na sahi mujh ko hae tum se ulfath
Kisi soorat mujhe dikhlao tum apni soorath
Jaanti hoon ke Sakina pah bahut hae shafqath
Achha ae baba bahen ki mein karoongi qidmath
Mujhko bulwa ke wahan mera bhi dilshaad karo
Lo kaneezi mein Sakina ki mujhe yaad karo
Gar nahin mujh ko bulate ho toh aao baba
Showq se apni Sakina ko bhi lao baba
Usko seeney pah sulate ho sulao baba
Hum ko rulwate ho toh qair rulao baba
Ranj sehti hui duniya se guzar jaoongi
Aap aaye nahin ek roz mein mar jaoongi
Arzoo hae ke kisi taur yahaan aajaye
Aap ki jaan se door aah jo hum marjaein
Apne hathon se kafan aap mujhe pehnae
Aur takleef lahad tak bhi zara farmae
Bas zyaada na sawari yahan tehraei-ga
Dafn karte he mujhe aap chale jaye-ega
Maa ko marqoom tha ae ma-dare farqunda siyar
Saqth baba ki tarah kar liya tum ne bhi jigar
Aas bachne ki nahin leejiye ab jald qabar
Varna beemar ka ab hota hae duniya se safar
Nahin umeed ke bach jaye yeh muztar amma
Doodh ab baqsh doh beemar ko aakar amma
Tha raqam hazrat-e Zainab ko phoopi nekh qisal
Tumko bhaiyya Ali Akbar se mohabbat hae kamal
Hai har dum mujhe rah rahke ab aata hae khayal
Ke mere bhai pah bhaari hae yeh attharwan saal
Haan tasadduq ke liye der na farmaiyega
Sadqa hone ke liye bhai pah bulwaiega
Tha Alamdar ko tehreer ke Abbas chacha
Door iftoadah bhatiji se huve tum bhi qafa
Sunte hain aapki har baat ko mere baba
Mujhko bulwaiye ya laiye unke main fida
Choomungi unke qadam tumko duaein doongi
Unki bhi aur tumhari bhi balaein loongi
Likha Akbar ko ke ae baap ke pyare Akbar
Aur phoopijan ke bhi raaj dulare Akbar
Mere baba ki zaeefi ke sahare Akbar
Hai ye beemar behen gor kinare Akbar
Waada le jaane ka tha dekhiye kab aate hain
Aap toh aate nahin qalq se hum jaate hain
Tha qitaab Asghare nadaan se ke ae rashke qamar
Ghutniyon bhi na chale hogaya dar pesh safar
Mujhe har dum tera rehta hae qayal aatt pehar
Sothey ho jhoole mein ya jaagte ho aey Asghar
Neend aaram se aur chaen se aati hogi
Jab Sakina tere jhoole ko jhulati hogi
Yaad aate hain tumhare woh jhandooley mujhe baal
Sadhosi saal salamat raho ae mere laal
Tumko beemar behan ka nahin maloom ahwaal
Maut nazdeek hae aur zoaf-o naqahath hae kamaal
Main jo marjaon kahin bhool na jana Asghar
Ghutniyon chalte hue qabr pah aana Asghar
Yeh na tha ilm usey kat gaya Sarwar ka gala
Qasim-o Akbar-o Abbas hue Shah pa fida
Teer khakar Ali Asghar bhi gaye suey baqa
Baqi ek bhai tha Sajjad sow woh qaid hua
Ma phoopi behne luti qaime bhi taraaj hue
Ek chadar ko haram shah ke mohtaaj hue