Jab Zainabe ghareeb ke run mein
Jab Zainabe ghareeb ke run mein pisar lade
Tanha lade yeh aah woh sab ahle shar lade
Kis khoobsurthi se Ali ke jigar lade
Ek shor padgaya ke ghazab shere nar lade
Virsa unhein mila hae janabe Ameer ka
Yeh zor sab hae sher ke beti ke sheer ka
Zainab jo nangay paaoun khadi thi qareebe dar
Abbas jaakey dete thay yeh dambadam qabar
Roen na ab huzoor muhim ho chuki hae sar
Lakhon se lad rahe hain ghazab aapke pisar
Zor aaj phir dikhadiya qaibar kushai ka
Ab toh unhi ke haath hae maidaan ladai ka
Aansoo baha ke binte Ali ne kaha ke haan
Dey aur himmatein inhein qallaqe inso jaan
Bachhe kahan hazaaron ka woh mareka kahaan
Kuch ho inhe falak ne na honay diya jawaan
Bekas hoon aur is pah mujhe aitamad hae
Qaliq woh dey ke jo mere dil ki muraad hae
Bhaiyya kuch apne betoun ka mujhko nahin khayaal
Marjaye ladke ya ke ho taapoun se paayemaal
Sadqe karoon hazaar jo aise ho naunehal
Sab dowlatein lute pah bache Fatema ka laal
Aaye bahan pah woh jo bala un pah aai ho
Duniya mein koi ho ke na ho mera bhai ho
Yeh zikr tha ke bhai ko hazrat ne di sada
Abbas aao ghir gaye Zainab ke dilruba
Dowde sada yeh sunte hi Abbas-e bawafa
Asnae raah mein Ali Akbar ne yeh kaha
Zinda rakha falak ne yeh aansoo bahane ko
Chaliye huzoor jaate hain laashe uthane ko
Chillae rokay hazrat-e-Abbase naamwar
Chota tamaam hogaya ya Shaahe bahrobar
Hazrat pukare haath kaleje peh maar kar
Hae hae bada bhi margaya veeran hua yeh ghar
Maa muntazar hae chaak garebaan kiye hue
Kis moonh se jaoon qaime mein laashe liye hue
Kuch kuch abhi tha dum ke unhein le chale imam
Ek laash ko toh aap liye thay shahe anaam
Aur ek laash hazrate Abbas-e-nekh naam
Qaima tha saamne ke biza-at hui tamaam
Jeete na pahunche haaye ghazab qaima gah mein
Dono sagheer mar gaye asnaye raah mein
Zainab ke dil ko hogayi waanh qud ba qud qabar
Jaa baithi aap maatami saf par jhuka ke sar
Laye Hussain dono ke laashe lahu mein tar
Farmaya haaye lut gaya bekas behan ka ghar
Doh qanjar ek baar kaleja pah chal gaye
Aaye thay tum se milne ko par dum nikal gaye