Muslim par layinon ki chadhai

Muslim par layinon ki chadhai hae sahar se

Tov-aa pa qayamat ghazab aai hae sahar se

Aur ek tan-e-tanha se ladaai hae sehar se

Dum lene ki fursat nahin paayi hae sehar se

Mazloom peh ek nargha-e afwaje jafa hae

Yaan daire mein nuqta-e anwaare Khuda hae

Likha hae navee raat thi Zilhijh ki basdh aah

Muslim ne kafan dho ke muattar kiya naagah

Sar sajde mein lab zikr mein aur dil soo-e Allah

Jab aati thi tau-aa toh yeh kehta tha woh zeejah

Firdaus mein qanjar ke tal-e deedh karenge

Kal Arfe ko qurbani ki hum eid karenge

Al qissa sehar ko hui aada ki chadhai

Tou-aa ka makaan ghir gaya aafat nahin aayi

Chillati thi Tou-aa ke duhaai hae duhaai

Kyon karte hain Hyder ke bhatije se ladaai

Kyon ladne ko sab aaye ho yeh kisse lada hae

Bechara mere hujre mein faaqe se pada hae

Alqissa baraamadh hua woh nayabe Shabbir

Baadal ki tarah chagaye sab zaalimo bay peer

Hathon mein tuli barchiyan pehloo se mili teer

Padne lagi mazloom peh shamsheer peh shamsheer

Deewar pah amboh tha aur baam ke oopar

Balwa tha ajab Muslim-e nakaam ke oopar

Ek phainkta tha choab ko aatish se jalake

Muslim peh girata tha koi sangh utha ke

Yaan walwale mein naare thay ya shere Khuda ke

Deewar hata detey thay ghode ko badhake

Ja padta tha jab haath kamar bandh adoo par

Ghode se wahin phenkte thay baam ke oopar

Nagah lab-o dandaan pah laga sange jafakaar

Qam ho gaye aur moonh se lahu dala kayi baar

Par dabdaba yeh tha ke na paas aate thay kuffaar

Aqir ko dagha ki yeh pukaare woh sitamgaar

Phir ladna zara pooch lo bhai ki qabar ko

Woh naqa sawaar aata hae Kaabe se idhar ko

Muddat se suna tha jo na haale shahe waala

Yeh sunte hi besaqta talwar ko roka

Bas moonh ko phirate hi ajal ne kiya mujhra

Barchi toh kalejey mein thi barchi mein kaleja

Moonh su-e Najaf karke kaha apne chacha se

Mazloom bhatije ko tere mara dagha se

Himraan ke farzand se hakim hua goya

Ab der na kar baam pah Muslim ko tu leja

Latka dey dar-e Koofe mein sar kaat ke iska

Aur baam se ba-laae zameen phenkde laasha

Haan baandh kar phir laash ke paoun mein rasan ko

Tashheer karo Muslim-e awara watan ko

Zilhijj ki naveen Arfe ka din qatl ka saamaan

Par eid yeh ho aap pah hota hoon mein qurbaan

Shehzadoun ka aur shah ka Allah nigehbaan

Karta hoon Ruqayya ki sifaarish magar is aan

Kud kud ke mere gham mein na dum uska nikal jaye

Sadqe mein Sakina ke Ruqayya meri pal jaye

Kaabe se us roz rawana huve thay shah

Muslim toh labe gore thay Shabbir sare raah

Jibreel ne Koofe ke zameen se kaha nagaah

Haan hukm Khuda ho toh bulandh itna hi wallah

Muslim shahe mazloom ki tasweer ko dekhe

Shabbir useh dekhe woh Shabbir ko dekhe

Koofe ki taraf Shah ne chehre ko phiraya

Saydaniyon ne mehmiloun se parda uthaya

Allah ne Muslim ka jamaal unko dikhaya

Baitha hua talwar ke neeche nazar aaya

Baaham thi nazaaron mein sada haye aqi ki

Yaan Fatema rothi thi wahan rooh Ali ki

Chehron peh tamanche harame sheh ne lagaaye

Milne ke liye haath Ruqayya ne badhaye

Chillai ke lo amma woh baba nazar aaye

Sab kehte thay baba ne wahan shehar basaaye

Na farsh hae na saaya-e deewar ke neeche

Baba toh mere baithe hain talwar ke neeche