Narghaa hai dilbar-e-Hasan-e-sabz
Narghaa hai dilbar-e-Hasan-e-sabz poush par
Chaaro taraf hai teeroun ki bochaar josh par
Dil par sinaan ka zakhm hai pehloo pa doush par
Sehray ki sab katee huvi ladiyaan hain doush par
Talwaar run mai dulhaa ka muh khoon sey dhothi hai
Khaimey main ghul hai aaj dulhan raand hothi hai
Beh beh kay khoon tapaktha hai har baar haath sey
Zakhmi hai niklee jaati hai talwaar haath sey
Ab kya karein nabardh hai beykaar haath sey
Chooti inaan aspay wafaadaar haath sey
Khoon behgaya jahaan sey muh moddney lagay
Girkar zameen-e-garm par dam toddney lagay
Sar kaatney idhar sey baday fouj kay sawaar
Daudey udhar sey Shah alam karkey Zulfiqaar
Thay saath saath Akbar-o-Abbas-e-naamdaar
Dehshath sey teen shairoun ki bhaagay sitam shiyaar
Majrooho naathawaan ka ajab haal hogayaa
Ghodoun sey jism dulhey ka pamaal hogayaa
Ronay lagay Imam-e-Umam dekh kar yeh haal
Laasha utthaakay ley chalay aakhar basadh malaal
Ek doh qadam baddhaa tha Rasool-e-Khuda ka laal
Hichki jo aayi margayaa hai hai woh khush qisaal
Godhi main Sheh ki phool sey kumlaa kay rehgaye
Baazu lahoo bharay huvey tharraakay rehgaye
Fizza ney dekha Sheh ko jo aathay huvey idhar
Khaimey kay sahen sey yeh pukaari bachashm-e-tarr
Saidaanio uroos sey hoshyaar-o-baakhabar
Deodi takh aayi maadar-e-nausha nauhagar
Faakhoun sey hain niddhaal qadam ladkadaathe hain
Masnadh bichaao dulhaa ko Shabbir laathay hain
Haalath hai gham sey ghair Shahey khushqisaal ki
Hai hai jawaani qaasim-e-Yousuf Jamaal ki
Poshaak khoon sey surkh hai us nauneyhaal ki
Aao baraath dekhlo Shabbar kay laal ki
Ronay ka shore charq pa jaata hai saahibo
Dulhaa chacha ki goadh mai aata hai saahibo
Daudey harum idhar sey khuley sar barehna paa
Khaimey main aaye laash liye Shaahey dosaraa
Naamoos main qayamath-e-Kubra huvi bapaa
Waah Qaasima ki charq pa jaaney lagi sadaa
Behnay qareeb aagayeen aansoo bahaaney ko
Pehlaaye maa ney haath galay sey lagaaney ko
Khaimey takh aaye sab harum-e- paak nauhagar
Laasha litaakay ronay lagay Shaahey behrobar
Abbas peetnay lagay haathoun sey apna sar
Kubra kay paas rakhdiya sehra lahoo main tarr
Taghyeer haal maadar-e-ghamnaak hogaya
Seenay kay zakhm dekh kay dil chaak hogaya
Fizza ney baandha hujreh ka pardaa basadh malaal
Laayi dulhan ko thaam kay Banu-e-khush qisaal
Mitti bhari thi maang main Kubra ka tha yeh haal
Maelee si chaadar odhey huvey kholay sar kay baal
Dikhlaa kay zakhm sab jasadh-e-paash paash kay
Bittlaadiya uroos ko pehloo mai laash kay
Jisdum dulhan ney dulhaa kay zakhmoun pa ki nazar
Kaampaa kaleijaa ashk bahey shaq huva jigar
Qadhmoun ki samth jhuk kay boli woh nauhagar
Saahib uttho hum aaye hain laashey pa nangay sar
Kholay hain baal beykas-o-naalaan ko dekh lo
Tum bhi hamaarey haal-e-pareishaan ko dekh lo
Saahib bathaao kya main aseer-e-meihann kahoon
Beykas kahoon ghareeb kahoon beywatan kahoon
Zakhmi kahoon main aapko ya beykafan kahoon
Dulhaa kahoon kay aapko ibne Hasan kahoon
Kya kehkay rovoon koyi bathaata nahin mujhey
Taaza dulhan hoon bayn bhi aata nahin mujhey
Fizza ney laakay ithney main randsaala rakhdiya
Dulhaa ki maa ney haath main usko utthaaliya
Aur boli isko pehno yeh qallath hai bevaa ka
Kubra ney sar ko peetkay aur rokay yeh kaha
Ab kyon libaas beyvoun ka mujhko pehnaathay hain
Dulhan banaakay kya koyi bevaa banaathay hain