Bhaiyya mujhe bhool na jaana
Bhaiyya mujhe bhool na jaana
Sab phooloun ke gehne mai sawaari dulhan aaye
Tum jaise ho bus waisi hi pyaari dulhan aaye
Sar pe agar sehra sajaana,
Haath pay kangnaa jo bandhana
Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)
Sar pay agar sehra sajaana
Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)
Fatema Sughra ne yeh Akbar ko likha hai
Bhaayi salaamat raho behna ki dua hai
Baad-e-dua dil mai ye armaan basaa hai
Masnad-e shaadi jo bichaana
Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)
Baba ki aaghosh mei mai bhi toh pali hoon
Bhaiyya teri ungli pakad kar mai chali hoon
Kyon mai teri chaaoun se mehroom rahi hoon
Baba ki jab chaoun mein jaana
Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)
Baba se kehna ke meri jald khabar lein
Toot na jaaye kahin baba meri saasein
Kat tha nahin din na guzarti hai yeh raatein
Qath mera baba ko sunaana
Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)
Bhaiyya tere baad jo din eid ka aaya
Eidi ke din eid mai gham maine hai paaya
Mujhko bhare ghar ki judaayi ne rulaaya
Dukh yeh mera sub ko bataana
Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)
Sunti hoon Karbal ki bohat garm hawa hai
Amma se kehna ke yeh Sughra ne kaha hai
Phool sa Asghar jo mera saath gaya hai
Dhoop se jab usko bachana
Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)
Behnoun ka dil jaane jigar hota hai bhaayi
Aankh teherti hai jidhar hota hai bhaayi
Mere tadapne ka asar hota hai bhaayi
Tum ho jahan mujhko bulaana
Bhaiyya mujhe bhool na jaana (x2)