Bevoun ka mulk-e-Shaam mai jisdum
Bevoun ka mulk-e-Shaam mai jisdum guzar huva
Zaanu pa jhuk kay sharm sey ooncha na sar huva
Farth-e-hayaa sey jism paseenay mai tarr huva
Har soo hujoom dekh kay tukhdey jigar huva
Phir kar tamaam koocha-o-baazaar-e-Shaam mai
S hehzaadiyaan pahoonch gayeen darbaar-e-aam mai
Taa deir ki yazeed sey Abid ney gufthagoo
Royaa kiye jhukaaye huvey sar ko sab adoo
Mehjoob hokay taqth sey utthaa siyaah rooh
Daakhil huva mahal main badh athwaar-o-thundhakhoo
A pney gharoun ko roosiyaa sab shaadmaan gaye
Zindaan ko Ahlebaith-e-Imam-e-Zamaan gaye
Bhaitey aseer-e-zulm adheirey main nangay sar
Darr darr kay dekhthi thi Sakina idhar udhar
Thay kis qadar thakay huvey Sajjad-e-khudsiyar
Girthey hi dasth-o-paa ki na muthlaq rahi khabar
Jaagay thay raat bhar jo bahot susth hogaye
Deewaar par bukhaar main sar rakh kay sogaye
Baano sey dam-ba-dam yeh Sakina ka tha bayaan
Kaisa makaan hai kay hawaa takh nahin jahaan
Dekhoongi kis tarhaa sey bhalaa shakl-e-aasmaan
Hai hai zameen takh nazar aathi nahin yahaan
A mma sabhoun ki jaan Khuda hi bachaaegaa
S hab ko bhi kya charaag jalaaya na jaayegaa
Aisee hi teeragi hai toh bas ho chuki hayaath
Main jaanthi hoon aaj ki shab ko shab-e-wafaath
Sothay thay leikay seenay pa Baba tamaam raat
Aadath meri bigaadd gaye Shaahey khush sifaath
Jab shamaa gul huvi hai toh ghabraakay royi hoon
A mma bhalaa kabhi main andheirey main soyi hoon
Maa beti main yahaan thi gham angaiz daastaan
Aayi pahar kay bajjney ki aawaaz naagahaan
Hoshyaar bhaayiou yeh pukaarey nigaahabaan
Bhaagay aseer toh na bacheygi kisi ki jaan
Tadpey dil aur habz jo deh chand hogaya
Zindaan ka dar lahad ki tarhaa bandh hogaya
Chillaayi jald utt kay Sakina ghazab huva
Maa ney galay lagaakay kahaa shukr ki hai jaa
Qurbaan jaaoon dil ko sambhaalo payeh Khuda
Dekho guzar gayee hai paher raat main fidaa
A b toh bani huvi hai Khuda par nazar karo
Taa subhaa jis tarhaa sey ho beti basar karo
Tadhbeerein maa ney ki payeh taskeen ajab ajab
Us raat ki tarhaa sey badhaa dam-ba-dam taa-ab
Ronay main katt gayee jo Sakina ko nisf shab
Naachaar hokay goadh main leyti woh khush laqab
S usthi kamaal khaatir-e-naazukh pa chaa gayi
Baathein jo maa ney ki toh zaraa neendh aagayi
Soyi thi koyi dam kay bandhaa aansuoun ka taar
Dekhaa yeh khwaab aaye hain Sultaan-e-naamdaar
Pehlaaye haath dhoondthi utthi woh dilfigaar
Jhuk jhuk kay dekhti thi har ek samth baar baar
Kehthi thi hai ghazab ka andheira zia nahin
Baba kidhar khadey ho mujhey soojthaa nahin
Thay sab harum yateem ki baathoun pay nauhagar
Rothay thay paasbaan bhi moonh dhaamp dhaamp kar
Naagah gayi yazeed ko is haal ki khabar
Machlee huvi hai dukhtar-e-Sultaan-e-behrobar
Faryaad kar rahi hai ajab izteyraar hai
Baba ko dekhney kay liye beyqaraar hai
Ley jaao farq-e-Shah yeh bolaa siyaahey rooh
Leikar sar-e-Hussain ravaana huvey adoo
Thi raah main chamak sar-e-anwar ki chaar soo
Zindaan kay paas jaakay joh di geysuoun ney boo
S aidaaniyo mai hashr huvaa saff ulatt gayi
Zindaan kay dar sey aakay Sakina lipatt gayi
Khush khush khadi huvi thi Sakina lagaaye aas
Ithney main waan huva jo dar aayi guloun ki baas
Phailee ziyaa-e-husn-e-Shahenshah-e-haq shinaas
Roushan huva makaan jo muddath say tha udaas
Daudey harum Hussain ki tasleem kay liye
S ajjad utt khadey huvey taazeem kay liye
Bhaitee zameen pa leikay Sakina sar-e-Imam
Moonh rakh kay moonh pa khoob kiye unskay kalaam
Ghash aagaya kay laayi qazaa mauth ka payaam
Liptee sar-e-pidar sey kheenchi jab raghein tamaam
Tha moonh pa moonh kay zeesth ka naqsha badal gaya
H ichki bas ek aayi waheen dam nikal gaya
Kurtha utthaa kay seenay ko deinay lagi hawaa
Zainab sey ki arz kay padhiyeh koyi dua
Sajjad sey kaha kay idhar aao main fidaa
Betaa bahen ki nabz toh dekho maraz hai kya
Chounkaa rahey hain sab khabar-e-dastho paa nahin
Ghash main kabhi yeh haal kisi ka sunaa nahin
Dekhi jo nabz ronay lagay Abid-e-hazeen
Maa ney kaha tadap kay mujhey taab ab nahin
Jo haal ho Khuda kay liye keh chuko kaheen
Sajjad sar jhukaa kay yeh bolay kay margayeen
Takleef dijiyeh na taneh paash paash ko
Jaldi litaaiyeh kay azeeyath hai laash ko
Sadqey gayi huva is andheirey mai inteqaal
Beti yeh daagh dil sey na jaayega maah woh saal
Fizza ney paasbaanoun sey jaakar kiya sawaal
Deidoh koyi charaag toh ehsaan hai kamaal
H o roushni yeh rasm hai saarey jahaan mai
M aiyath padi huvi hai andheirey makaan mai