Aye momino Yasrab may ajab
Aye momino Yasrab may ajab nauhagari hai
Zehra ke liye daagh gham-e-bey pidari hai
Labb khushk hai muh zard hai aankhon may taree hai
Paighamber-e-kaunain chiraag-e-sahaari hai
H othay hain judaa khair-e-bashar khairunnisa sey
M ehboob-e-khuda choot-thay hain sher-e-khuda sey
Jis ka kalmaa paddtey hain sob momin-e-deendaar
Ab aazam-e-firdous hai woh khaasa-e-gaffaar
Makkeh may Madine may tabaahi ke hain aasaar
Ab hothay hain ummath sey judaa Ahmad-e-Muqtaar
Faaqay kiye ghamgeen rahey duniya ke safar may
A akhar safar-e-marg kiya maahey safar may
Ek kaafeira ney goshth may tha zeihar khilaaya
Is Zeihar ney aakhar yeh asar apna dikhaaya
Maula ko sarey bistare aazaar giraaya
Hissay may Hassan ke wohi zeihar-e-sitam aaya
Kamzore kiya thapp ney Rasool-e-Arabi ko
Taaqath na rahi bhaitney uttney ki Nabi ko
Hai aakhri is waqt mera waaz wo naseehath
Ab mimber-o-mehraab sey hotha hoon mai rukhsath
Aaya tha min Allah ilallah, hai Rehlath
Ab hogi mulaaqaath meri roz-e-Qiyaamat
Turn gham may meray naala-o-Faryaad karogay
I s saal mujhey Hajj may bahot yaad karogay
Do cheezein main chodey huvey jaatha hoon magar haan
Woh ek toh meri aal hai aur ek hai Quraan
Quraan ki haafez meri ithrath hai nigehbaan
Yeh dono buzurgi-o-fazeelath may hai eksaan
Quraan toh turn sab ki tilaawat ke liye hai
A ur aal Payambar ki Hidayath ke liye hai
Gar baad meray pahoonchegaa Zehra ko kuch aazaar
Marqad sey meri pushth nahi lagney ki zinhaar
Yeh chaar buzurg aal-e-Payamber hain khabardaar
Zehra-o-Hussain-o-Hassan-o-Hyder-e-Karraar
Waajib meray ashaab pa in sab ki vilaa hai
Yaaro yehi tabligh-e-risaalat ka silaa hai
Faarigh jo huvey waaz sey woh aashiq-e-daawar
Phir ghar mein gaye aur giray farsh-e-ajal par
Us roz sey tashreef na phir leygaye baahar
Bus qabr may jaaney ko utthey waan sey payambar
H airaan-o-pareishaan-o-dil afradaa thi Zehra
Baba abhi jeeta tha magar murdaa thi Zehra
Par Ahmad-e-Mukhtaar thay jab housh may aathay
Zehra ko basadh yaas kaleijay sey lagaathay
Gah pyaar sey yeh dono nawaasoun ko sunaathay
Main achcha hoon turn kis liye khaana nahin khaathay
Woh kehtay thay kya khaak tamanna-e-ghiza ho
A llah karey jald kaheen turnko shifa ho
Sheh kehthay thay seihath ho na ho khaana toh khaalo
Naana ke nawaasoun dil-e-muztar ko sambhaalo
Chillaathi thi Zehra ke na yeh zikr nikaalo
Baba meray farzandoun ko dulhaa toh banaalo
A rmaan tha turnko toh nawaasoun ki dulhan ka
Kya biyaah na dekhogay Hussain aur Hassan ka
Ek aah ki ronay lagay aur ghash huvey Maula
Darwaazey sey naagaha sadaa yeh huvi paidaah
Doh izn huzoor aye haram-e-syed-e-waala
Jaakar kaha Zehra ney ke beihosh hain Baba
Phir aayi nida phir wohi farmaagayi Zehra
Phir theesri awaaz may tharraagayi Zehra
Fursath jo huvi ghash sey toh hazrat ney bhi poocha
Zehra ney kaha ek arab aaya hai tanhaa
Woh maangtha hai izn huzoor aye meray baba
Kitnaa hi kya uzr nahjn isko pazeeraa
H azrat ney kaha yeh Malakul Maut hai Zehra
H ungaam meri zeesth ka ab fauth hai Zehra
Yeh izn kisi sey bhi nahin maangtha wallah
Par haan meray darwaazey ke ruthbay sey hai aagah
Allah ray izzo sharaf-e-syed-e-zeejaah
Bey hukm na ghar may malakul Maut ko thi raah
Par karbobalaa may yehi ghar tha yehi dar tha
Kuffaar ka amboh tha aathish ka guzar tha