Jisdum naginey khaatam-e-Paighambaraan
Jisdum naginey khaatam-e-Paighambaraan giraa
Raunaq utthi zameen sey Imam-e-Zamaan giraa
Girney pa sab giroh liye barchiyaan giraa
Hai hai na in jafaaoun pa bhi aasmaan giraa
Zehra sey poochiyeh khalaq noor-e-ain ka
Taphna zameen pa aur tadapnaa Hussain ka
Mushtaaq-e-sair-e-zibhaa baday afsaraaney keen
Qaatil kayee khadey huvey aakar qareen qareen
Koyi pukaara haan koyi bolaa abhi nahin
Ab deir kya hai sajdeh main rakh leinay doh jabeen
A awaaz dee umar ney hai gardhan dhalee huvi
Qaatil pukaara aankh abhi hai khulee huvi
Sab tham gaye magar na thamaa shimr-e-badh shiyam
Sar peetnay ki jaa hai rakha us jagaah qadam
Seena dabaah toh aur bhi tadpey Shahey Umam
Shor-o-fughaan sunaa isi haalath mai dam-ba-dam
Qaatil sey poocha dekh kidhar ghul yeh hotha hai
H ai hai Hussain kehkay koyi run mai rotha hai
Woh bola koyee hoga main dekhoon bhalaa kidhar
Ab teigh par nigaah hai Sheh ragh pa hai nazar
Haan jab sawaar honay lagaa tha main seenay par
Saidaani ek niklee thi khaimey sey nangay sar
Us dam hamaari fouj main toh eid hothi hai
M ujhko yaqeen hai yeh wohi Bibi rothi hai
Sheh bolay aur koyee nahin yeh bahen bahen
Aashiq bahen Hussain ki tashnaa dahan bahen
Bhooli hamaarey pyaar main maa ka chalan bahen
Balwaa kahan kahan yeh meri qasthaa tanh bahen
Qaatil pukaara aagay bhi baahar yeh aayi thi
S heh bolay jab sinaan yeh Akbar ney khaayi thi
Woh ronaa beykasi ka woh ghabraana yaas ka
Woh thar-tharaana dil ka woh uddnaa hawaas ka
Kehnaa bilakh bilakh kay yeh kalmaa hiraas ka
Aye shimr waastha Ali Asghar ki pyaas ka
L illah teen roz kay pyaasey ko chodd dey
S adqaa Nabi ka unkay nawaasey ko chodd dey
Thamjaa Khuda ko maan Habeeb-e-Khuda ko maan
Zehra ko maan Hazrath-e-Mushkil Kusha ko maan
Saugandh faqr-o-faaqaa-e-Aal-e-Abaa ko maan
Apni Rasool zaadi ki tu ilteijaah ko maan
S aarey buzurgh margaye mujh badhnaseeb kay
M eraa koyi nahin hai siwaa is ghareeb kay
Aye shimr main galay sey lagaaloon toh zibhaa kar
Bhaayi sey milkay khaimey main jaaloon toh zibhaa kar
Kuch dard apney dil ka sunaaloon toh zibhaa kar
Syed ko Qibla roo main litaaloon toh zibhaa kar
Paani toh bhookay pyaasey ko aye badhqisaal dey
H ai waqt-e-zibha aankhoun pa kapdaa toh daal dey
Aye shimr tujhko Khaaliq-e-Akbar ka waastha
Aye shimr tujhko roohey Payambar ka waastha
Aye shimr tujhko Hyder-e-Safdar ka waastha
Aye shimr tujhko nanhey sey Asghar ka waastha
L illah kar na zibhaa Shahey mashraqain ko
M ain bheek maangthi hoon mujhey dey Hussain ko