Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho

Is aalam-e-ghurbath mein tumhey jaaney doon kaisey

Is dasht-e-museebath mein tumhey jaaney doon kaisey

Is waqt-e-qayamath mein tumhey jaaney doon kaisey

Aey laal jo tum izn-e-wighaa maang rahey ho

Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho

Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Kya guzregi iss baap kay dil par nahin sonchaa

Tumney yeh meri jaan Ali Akbar nahin sonchaa

Mar jaoonga maen tujhsey bichhad kar nahi sonchaa

Tum mujhsey zaeefi ka asaa maang rahey ho

Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho

Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Dil rotha hai nazron sey agar door ho beta

Kis tarhaa judaayi teri manzoor ho beta

Tum hi meri aankhein ho mera noor ho beta

Mujhsey meri ankhon ki ziyaa maang rahey ho

Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho

Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Duniya sey gayaa jis ghadi mehboob Khuda ka

Naana ki ziyaarat ko tadaptaa tha nawaasa

Aey laal tujhey is liye Khaaliq sey tha maangaa

Maqbool huvi meri dua maang rahey ho

Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho

Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Islam pey khud apna lahoo run mein bahaao

Seenay pey sinaa shaan sey maidaan mein khaao

Tasweer Payambar ki tahey khaak milaao

Kya is liye marney ki rizaa maang rahey ho

Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho

Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Ek roz tujhey aan kay mangaa tha phuphi ney

Atthaara baras naazon sey paala tha phuphi ney

Beton sey bhi zyada tumhey chaaha tha phuphi ney

Ehsaan jo Zainab ney kiya maang rahey ho

Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho

Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Rakhtey nahin tum iski khabar aey meray pyaarey

Kis darja mohabbath hai teri dil mein humaarey

Naana ki meray shakl hai paikar mein tumhaarey

Tum soorat-e-mehboob-e-Khuda maang rahey ho

Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho

Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Sar tera bhi jiss waqt chaddhega sarey naiza

Hoga sarey maidaan judaa sar bhi tumhara

Hum shakl-e-Payambar ka gala kaateingey aadaa

Goya meray naana ka galaa maang rahey ho

Tum baap sey marney ki reza maang rahey ho

Akbar tumhey maloom hai kya maang rahey ho

Baba mujhey maloom hai kya maang raha hoon

Ek baap sey marney ki riza maang raha hoon

Baba mujhey Amma ney bhi kuch dars diya hai

Aadaab-e-wafa sey mujhey aagah kiya hai

Pehlay mein maroon aap sey wada yeh liya hai

Buss is liye marney ki riza maang raha hoon

Ek baap sey marney ki riza maang raha hoon

Baba mujhey maloom hai kya maang raha hoon

Hain aap toh baba biney Khaatoon-e-Qayamat

Aur maa hai meri apna si ek paikarey ismat

Kya siney mein us kay nahin kuch jazbaa-e-ismat

Mein maadar-e-muztar ka kahaa maang raha hoon

Ek baap sey marney ki riza maang raha hoon

Baba mujhey maloom hai kya maang raha hoon

Baba mujhey ehwaaley dil-e-zaar pataah hai

Hai sakht bohath manzil-e-dushwaar pataah hai

Aur deen ka mushkil mein hai sardaar pataah hai

Yoon aap sey marney ki riza maang raha hoon

Ek baap sey marney ki riza maang raha hoon

Baba mujhey maloom hai kya maang raha hoon

Maen Shayer-e-Has aat jigar soz hoon Khursheed

Mehvey gham-e-Shabbir shab-o-roz hoon Khursheed

Aalaam-e-masaeb sey zamee'n doz hoon Khursheed

Kashkol mein kuch ashk-e-aza maang raha hoon