Darbar mein jab katke yateemoun

Darbar mein jab katke yateemoun ke sar aaye

Doobe hue doh chand lahu mein nazar aaye

Gul padgaya Muslim ke yeh laqte jigar aaye

Gurbat zada-o bey watan-o bay pidar aae

Shamsheere sitam chal gayi un nauhagaroun par

Kya bekasi-o yaas barasti hae saroun par

Haakim se yeh tab kehne laga haaris-e badhkaam

Sar bachhoun ke laya hoon miley qillat-o inaam

Pehchaanle Muslim ke pisar hain yahi gulfaam

Yeh woh hain jo Zindaan se bhaage thay sare shaam

Main dhoondta phirta tha na haath aate they dono

Paate thay jidhar raah nikal jaate thay dono

Haakim ne kaha tu ne kahan phir inhe paaya

Tareekiye shab mein nazar aata nahin saaya

Woh jodh ke haathoun ko suqan lab peh yeh laaya

Zowja ne meri tha inhe hujre mein chupaaya

Mein kehta tha dil mein ke kahan jaake chupe hain

Iski na qabar thi mere ghar aake chupe hain

Az bas ke thaka tha mujhe neend aagayi us dum

Kya dekhta hoon aalame roya mein basadh gham

Ek hujre mein do tifl nazar aate hain baham

Sar peet ke kehte hain woh ba deedaye purgham

Aafat mein phanse hum dare zindaan se nikal ke

Maloom hua padh gaye phande mein ajal ke

Chillaye jo woh haye pidar kehke dilafgaar

Tha neend mein ya aankh meri khul gayi ek baar

Khush hogaya mein taalaye qifta huve bedaar

Bistar se utha haath mein kheinche huve talwaar

Ek hujre mein Muslim ke woh pyaare nazar aaye

Bala-e zameen arsh ke taare nazar aaye

Jakda jab inhe maine toh karte thay yeh faryaad

Mehmaan tere ghar aaye hain hum bekaso nashaad

Bin baap ke hain hum pah taras kha sitam eejaad

Le minnatein karte hain teri chod de jallaadh

Kar rahem ke masoom hain dukh paaye hain zaalim

Hum chupne ko daaman mein tere aaye hain zaalim

Maine kaha tum dono ke baba ka hae kya naam

Rokar kaha kehte hain unhein Muslim-e nakaam

Bejurm-o-qata unke gale par chali sumsaam

Hum jab se chute baap se hum ko nahin aaraam

Dehshat se teri seene mein dil hilte hain zaalim

Ab dheeli rasan karke gale chilte hain zaalim

Yeh sunte he masoomon par ghussa mujhe aaya

Hujre se inhein khenchte daalanh mein laya

In dono ne jo zulm na dekha tha dikhaya

Mujrim ki tarah baandh diya rahem na khaya

Bahar unhein le aaya jo zulfoun ko pakad kar

Istada kiya choab se rassi mein jakad kar

Samjha na woh hargiz na mera dhyan mein laayi

Jhunjhla ke usey teghe sitam maine lagaayi

Ek vaar mein saa-adh se giri kat ke kalaai

Chilla ke lagi dene payambar ki duhaai

Hae hae mere aqa meri imdad ko pahuncho

Ae shahe garibaan meri faryaad ko pahuncho

Jab maar chuko usko toh masoomon ko kheincha

Pakde hue zulfein unhe laya lab-e darya

Rokar kaha bachoun ne hamein qatl na karna

Marega jo hum ko toh tere kya haath lagega

Bekas hain musafir hain aur awara watan hain

Yeh kya hae saza kum ke giraftar-e mehan hain

Kar reham sitamgaar gharibi pah hamari

Devega sila iska tujhe Qaliqe bari

Le ankh na dikhla nahin ab karne ke zaari

Chal kar sare bazar hamein bechde naari

Bach jayenge hum qilat-o-zar payega zaalim

Gar qatl kiya hum toh pachtaega zaalim

Yeh sun ke badha mai joonhi khenche huve talwaar

Pehloo mein biradar ke biradar gira ek baar

Main chati pah ek tifl ki akhir hua aswaaar

Jab halq pah bacche ki rakha qanjar-e khoonqar

Ek hashr bapa hogaya qanjar ke chale par

Bhai ne gala rakhdiya bhai ke gale par