Dasht-e-ghurbath mein Sakina Main akeila hogaya

Dasht-e-ghurbath mein Sakina Main akeila hogaya


Laash-e-Abbas-e-Ali sey utt kay aaye hain Hussain

Ho chuki duniya andheri kho chukaa hai dil ka chaen

Thaam kar tooti kamar beti sey karthay hain yeh bayn

Nehr par shaaney kattaa kay sogaya tera chacha


Khoon behjaaney ka koyi gham na tha Abbas ko

Apni nazron mein basaaye tha woh teri pyaas ko

Chott pahounchi haaye meray bhaayi kay ehsaas ko

Beh gaya paani chidda jis waqt mashkeeza tera


Mainey dekha hai dar-e-khaimey sey uska haal e zaar

Jab hua bey dast mera bhaayi mera ghamgusaar

Har taraf sey har koyi mazloom par karta tha waar

Kis qadar zakhmi hua hai kya kahun Saqqaa tera


Haal meray bhaayi ka beti karun Main kya bayaan

Jab Main pahuncha woh hayaat o maut kay tha darmiyaan

Sar sey paa takh gurz kay taighon kay bhalon kay nashaan

Aankh mein ek teer tha ek aankh mein tha khoon rawaan


Kehta tha laasha mera lillaaha khaimon mein na jaaye

Mujhko ab saidaaniyon ka saamna honay na paaye

Yeh guzaarish hai Sakina meray laashe par na aaye

Martey martey uska saqqaa us sey sharmindaa raha


Har aziyath seh gaye sab bawafa saathi meray

Par jo ghoday sey giraa uskay salaamath haath thay

Yeh museebath haan magar hissey mein thi Abbas kay

Kya bathaoon kaisey ghoday sey zameen par woh giraa


Karbala mein is taraah aashoor ko majlis huvee

Zikr tha Abbas ka zaakir Hussain Ibne Ali

Bey bason ki aah-o-zaari sey zameen hilney lagi

Kehtey thay Ehsan yehi ro ro kay Shaahey Karbala