Jawan bete ke laashe par
Jawan bete ke laashe par ye Laila sonchti hogi
Mujhe is din se pehle he na kyon mauth aagayi hogi
Kaha karti thi Laila kaise baithoongi main saaye mein
Mere Akbar ki mayyat jalti rethi par padi hogi
Khuda jaane dile Sarwar ka aalam kya huva hoga
Ali Akbar ne jisdum aaqri angdaai li hogi
Ali Akbar ka laasha aap lejate toh hain laikin
Dare qaime pah moula ghamzada Laila khadi hogi
Kaha karti thi aksar sonchkar yeh Fatema Sughra
Mere bhaiyya Ali Akbar ki shaadi ho gayi hogi
Nikaali hogi sheh ne jab sina Akbar ke seene se
Ali ne badhkar peshaani pisar ki choomli hogi
Sukoone qalb Laila raahate jaan thay yeh Zainab ke
Sayeed Akbar ko marne ki riza kaise mili hogi
Soghra ke kaleijay par barchi si lagi hogi
Tasveer jo kunbey ki aankhoun main phiri hogi
Alfaaz nahin milthay, kis tarha bathaye hum
Abbas pe kya guzree, jab mashk chidi hogi
Abbas bacha lena, durroun sey Sakina ko
Sajjad ke paaoun mein, zanjeer bandhi hogi
Abbas ka laasha bhi, beychaen huva hoga
Jab Saaniyeh Zehra ki, chaadar bhi chini hogi
Dekha hai Sakina ney phir, khwaab main Baba ko
Kya haal huva hoga, jab aankh khuli hogi
Asghar ke lab-e-tashna, aankhoun main phirey hongay
Zindaan main Sakina ko, jab pyaas lagi hogi
Lo aakhri pursa hai, ashkoun sey isey bhar doh
Rumaal liye Zehra, beychaen khadi hogi
Ashkoun sey bhari aankhen, zakhmoun sey bhara seena
Mehshar main Nawaaz apni, pehchaan yehi hogi